Hum Tum Board

Shayari & Urdu Adab => Shair o Shairi => Topic started by: Ajnabi on September 28, 2009, 11:31 AM

Title: Ek Zakham Bhi Us Ko Dikhaya Na Jaa Saka
Post by: Ajnabi on September 28, 2009, 11:31 AM
Palkon Pe Aanso'on Ko Sajaya Na Jaa Saka
Us Ko Bhi Dil Ka Haal Bataya Na Jaa Saka,

Zakhmon Se Choor Choor Tha Yeh Dil Mera
Ek Zakham Bhi Us Ko Dikhaya Na Jaa Saka,

Jab Teri Yaad Aayi To Koshish Ke Ba Wajood
Aankhon Main Aanso'on Ko Chupaya Na Jaa Saka,

Kuch Log Zindagi Main Aise Bhi Aaye Hain
Jin Ko Kisi Bhi Lamhe Bhulaya Na Jaa Saka,

Bas Is Khayaal Se Kahin Us Ko Dukh Na Ho
Hum Se To Haal-E-Ghum Bhi Sunaya Na Jaa Saka,

Woh Muskuraya Tha Mere Ru-Ba-Ru Magar
Chehre Ka Rang Us Se Chupaya Na Jaa Saka,

Tanhaiyon Ki Aag Main Hum Jal Gaye
Magar Faasla Ana Ka Mitaya Na Jaa Saka....
Title: Re: Ek Zakham Bhi Us Ko Dikhaya Na Jaa Saka
Post by: Super boy on October 15, 2009, 03:25 PM
very nice sharing  shakehandnn
Title: Re: Ek Zakham Bhi Us Ko Dikhaya Na Jaa Saka
Post by: Master Mind on October 19, 2009, 11:31 AM
nice  sml
Title: Re: Ek Zakham Bhi Us Ko Dikhaya Na Jaa Saka
Post by: ~!~Anchal~!~ on October 21, 2009, 02:36 PM
VERY NICE SHARING  0133
Title: Re: Ek Zakham Bhi Us Ko Dikhaya Na Jaa Saka
Post by: beautiful on October 28, 2009, 01:20 PM
very nice
Title: Re: Ek Zakham Bhi Us Ko Dikhaya Na Jaa Saka
Post by: impressible4u on November 04, 2009, 05:52 PM
nice sharing
Title: Re: Ek Zakham Bhi Us Ko Dikhaya Na Jaa Saka
Post by: Samera on November 27, 2009, 08:48 PM
nice sharing  for sharing
Title: Re: Ek Zakham Bhi Us Ko Dikhaya Na Jaa Saka
Post by: anjumkhan on January 20, 2010, 08:24 PM
very nice sharing
Title: Re: Ek Zakham Bhi Us Ko Dikhaya Na Jaa Saka
Post by: Aasi on January 29, 2010, 10:29 AM


very nice sharing