Hum Tum Board

Shayari & Urdu Adab => Shair o Shairi => Topic started by: Ajnabi on September 28, 2009, 12:23 PM

Title: ham ko mohabbat nahin mili
Post by: Ajnabi on September 28, 2009, 12:23 PM
Aisa Nahi Ke Hum Ko Mohabbat Nahi Mili
Jaisi Chahtey The Hum Ko Woh Ulfat Nahi Mili

Milney Ko Zindagi Main Kahin Hum-Safar Miley
Per Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili

Chehroon Main Doosroo K Tumhain Doondtey Rahey
Surat Nahi Mili Kahin Seerat Nahi Mili

Bohat Dair Se Aaya Tu Mere Paas Kiya Kahoon
Alfaaz Doondney Ki Bhi Mohalat Nahi Mili

Tujh Ko Gilla Raha K Tawajja Na Di Tujhey
Laikin Humain Khud Apni Rafaqat Nahi Mili

Her Shaks Zindagi Main Bohat Dair Se Mila
Koi Bhi Cheez Waqt-E-Zaroorat Nahi Mili

Hum Ko To Teri Aadat Achi Lagi Irshad
Afsoos K Tujh Se Meri Aadat Nahi Mili
Title: Re: ham ko mohabbat nahin mili
Post by: Super boy on September 29, 2009, 10:36 AM
nice shairng
Title: Re: ham ko mohabbat nahin mili
Post by: ~!~Anchal~!~ on October 21, 2009, 02:50 PM
VERY NICE SHARING  0133
Title: Re: ham ko mohabbat nahin mili
Post by: impressible4u on November 04, 2009, 05:32 PM
VERY NICE SHARING  shakehandnn
Title: Re: ham ko mohabbat nahin mili
Post by: Samera on November 27, 2009, 08:55 PM
nice sharing  for sharing
Title: Re: ham ko mohabbat nahin mili
Post by: Dreamboy on November 29, 2009, 02:04 PM
 thumbsss thumbsss very nice poetry
Title: Re: ham ko mohabbat nahin mili
Post by: Aasi on January 29, 2010, 10:18 AM


very nice sharing