Hum Tum Board

Shayari & Urdu Adab => Great Poets => Allama Iqbal => Topic started by: ahmed on October 20, 2009, 03:52 PM

Title: CHAND
Post by: ahmed on October 20, 2009, 03:52 PM
CHAND

TOO TALB E KHOO HAY TOW MERA BHI YEHI DASTOOR HAY
CHANDNI HAY NOOR TERA' ISHQ MERA NOOR HAY
ANJUMAN HAY IK MERI BHI JAHAN REHTA HOON MEIN
BAZM MEIN APNI AGAR YAKTA HAY TOO' TANHA HOON MEIN
MEHAR KA PERTOW TERAY HAQ MEIN HAY PEGHAM E AJAL
MEHAV KAR DETA HAY MUJH KO JALWA E HUSN E AZAL
PHIRR BHI AYE MAH E MUBEEN! MEIN OUR HOON TOO OUR HAY
DARD JIS PEHLOO MEIN UDHTA HO' WO PEHLOO OUR HAY
GAR CHEH MEIN ZULMAT SARAPA HOON' SARAPA NOOR TOO
SENKARROON MANZIL HAY ZOQ E AGEHI SAY DOOR TOO

JO MERI HASTI KA MAQSAD HAY' MUJHAY MA'ALOOM HAY
YEH CHAMAK WO HAY JABEEN JIS SAY TERI MEHROOM HAY

Dr. Allama Muhammad Iqbal
Title: Re: CHAND
Post by: Super boy on October 22, 2009, 02:05 PM
very nice sharing
Title: Re: CHAND
Post by: impressible4u on November 21, 2009, 04:23 PM
very nice good sharing
Title: Re: CHAND
Post by: Samera on November 27, 2009, 09:04 PM
nice sharing  for sharing
Title: Re: CHAND
Post by: Allahwala on December 05, 2009, 12:39 PM
Very nice shiring  thumbsss