Hum Tum Board

Shayari & Urdu Adab => Shair o Shairi => Topic started by: (¯`°HéèR°´¯) on November 10, 2009, 02:20 AM

Title: Sirf Tum Ho !!
Post by: (¯`°HéèR°´¯) on November 10, 2009, 02:20 AM
Sirf Tum Ho

"Meri soch ki udhan hai jahan talak,
Wahan tum hi tum ho,
Meri nazar ki had hai jahan talak,
Wahan tum hi tum ho,
Mera sehra hai jahan talak,
Barsaat tum hi tum ho,
Meri barsaat hai jahan talak,
Ghata tum hi tum ho,
Mere khawabon ka mehal hai jahaan talak,
Har qadam pe tum hi tum ho,
Mere dil ki waadi hai jahan talak,
Har chehraa tum hi tum ho,
Mere chehre pe muskurahat hai jab talak,
Muskurahat tum hi tum ho,
Meri aankhon ki shararat hai jab talak,
Woh sharart tum hi tum ho,
Mere pyaar ka sehar hai jahan talak
Us sehar mein tum hi tum ho,
Mere pyaar ka jaadoo hai jahan talak,
Wahan tum hi tum ho,
Meri aarzoein bikhrein hai jahan talak,
Woh umeed tum hi tum ho,
Mujhe sahara hai jahan talak,
Woh saheban tum hi tum ho,
Mere dil ki khusiyan hai jahan talak,
Woh sapne tum hi tum ho,
Meri nazar mein chandni hai jahan talak,
Woh roshn i tum hi tum ho,
Meri umeed ki kirne hai jahan talak,
Sab roshniyan tum hi tum ho.
Title: Re: Sirf Tum Ho !!
Post by: Leon on November 10, 2009, 12:39 PM
 thumbsss
Title: Re: Sirf Tum Ho !!
Post by: Samera on November 27, 2009, 08:50 PM
nice sharing  for sharing
Title: Re: Sirf Tum Ho !!
Post by: anjumkhan on January 20, 2010, 08:28 PM
very nice sharing
Title: Re: Sirf Tum Ho !!
Post by: Aasi on January 29, 2010, 10:33 AM


very nice sharing