Hum Tum Board

Shayari & Urdu Adab => Shair o Shairi => Topic started by: (¯`°HéèR°´¯) on November 10, 2009, 02:31 AM

Title: kAaShh ..
Post by: (¯`°HéèR°´¯) on November 10, 2009, 02:31 AM
Kaash tum nay mujhey hansaya hotta
Kaash tum nay mujhey rulaya hotta

Kaash gussay main he apna bulaya hotta
Kaash mujhey yaad ker k apnay dil ko behlaya hotta

Kaash meri yaad satati tumhain
Kaash merray bina neend na atee tumhain

Kaash k tum meri mohabbat ko pehchaan patee
Kaash k tum mujhey apna hee bana patee

Kaash main tumhain apni bahoon main khilata
Kaash main tumhari zulfoon main so jata

Kaash k tum dil say chahtee mujhey
Kaash k apna saya banatee mujhey

Kaash main teri aankhoon ka kajol hotta
Kaash main iss barish ka badal hotta

Kaash tum merray sennay say lipat ker rotee
Kaash k merray bina teri subhoo na hotee


Kaash k hal-e-dil batata tumhain
Kaash k dil ka ghum batata tumhain

Kaash k apni jaaaan say bhee chahta
Kaash tumbin saas bhee lay na pata

Aay kaash yeeh Saab ghum na hottay
Aay kaash na tum hottay na hum hottay
Title: Re: kAaShh ..
Post by: Leon on November 10, 2009, 12:41 PM
nice
Title: Re: kAaShh ..
Post by: Samera on November 27, 2009, 08:50 PM
nice sharing  for sharing
Title: Re: kAaShh ..
Post by: anjumkhan on January 20, 2010, 08:27 PM
very nice sharing