Hum Tum Board

Shayari & Urdu Adab => Shair o Shairi => Topic started by: Leon on December 21, 2009, 12:12 PM

Title: ~*~Ajnabi~*~
Post by: Leon on December 21, 2009, 12:12 PM
~*~Ajnabi~*~

Ajnabi si raahoN ka
Ajnabi musafir aik
Mujh say pooch betha hai
Raasta bata do gay?

Ajnabi si rahoN kay
Ajnabi musafir sunn
Rasta koi bhi ho
Wasta koi bhi ho
ManzileiN nahiN milteiN
ManzileiN to dhoka haiN
ManzileiN jo mil jaaiN
Justaju nahiN rehti
Zindagi ko jeenay ki
Aarzoo nahiN rehti
Title: Re: ~*~Ajnabi~*~
Post by: Dark_Lord on December 21, 2009, 07:42 PM
 calping
Title: Re: ~*~Ajnabi~*~
Post by: Leon on December 21, 2009, 08:16 PM
thanko  sml
Title: Re: ~*~Ajnabi~*~
Post by: anjumkhan on January 20, 2010, 08:53 PM
very nice sharing