Hum Tum Board

Shayari & Urdu Adab => Shair o Shairi => Topic started by: Super boy on January 21, 2010, 05:42 AM

Title: Meri mUhabbat tO iK gOher hAi Teri Wafa Be-KaraaN Samandar
Post by: Super boy on January 21, 2010, 05:42 AM
Meri mUhabbat tO iK gOher hAi Teri Wafa Be-KaraaN Samandar
tOo Phir Bhi mUjh Sey Azeem Tar hAi KahaaN gOher hAi KahaaN Samandar

YaQeen hAi dhOkey Mein Aa Key Utrey hAi Chaand Paanii Ki Saltanat Mein
bUlaandiyOn Sey Dikhaaii Daita hAi hOo Ba hOo AasmaaN Samandar

Azal Sey Be-Simt jUstajOo Ka Safar hAi Darpaish PaaniyOn kO
Kisay Khabar Kis kO dhOondta hAi Merii Trah RayeGaan Samandar

Main Tishna Lab dOor Sey jO DekhOn tO Har Traf Seel e Aab PaaOn
Qareeb JaaOn tO Rait ShOla Ghubaar Saahil dhUwaaN Samandar

hUmarey Dil Mein ChUpey hOye dArd Ki Khabar Chashm e Tar kO hOgii
Suna hAi Zair e Zameen KhazaanOn Ka hAi Fqat RaazdaaN Samandar

Main ISta'arOn Ki Sarzmeen Pey Utar Key DekhOn tO Bhaid PaaOn
Bashar mUsaafir, Hyaat Sehra, YaQeen Saahil, gUmaaN Samandar

JahaaN JahaaN Shaam e Gham Ki Afsurdagii Ka Matam Bapa hUa hAi
Ufaq Sey Aa Key Galey Miley hAin WahaaN WahaaN MeharbaaN Samandar

Wafa Kii Bastii Mein Rehnay WaalOn Sey hUm Ney "Mohsin" Yeh tOur Seekha
LabOn Pey Sehra Kii Tishnagii hO Magar DilOn Mein NehaaN Samandar
Title: Re: Meri mUhabbat tO iK gOher hAi Teri Wafa Be-KaraaN Samandar
Post by: Samera on January 21, 2010, 11:14 AM
very nice zbardst sharing