Tujhe Pyaar mera satayega
Yaadon ke toofan utthaye ga
Mera naam likh ker kitabon main
Tu logon ke darr se mitayega
Zikar mera aksar karne se pehle
Tu kuch soch ker muskuraye ga
Baatein meri yaad aayengi
Jitna tu unhain bhulaye ga
Tera Dil mujhe jo dekhna bhi chahe
Tu nazron ko phir bhi jhukaye ga
Jis ne mujhe itna sataya hai
Us ka chain bhi koi churaye ga.
Satayega pyar mujhko ager tera
To yaad rakhna
Reham tujh per bhi nahin khaega mera
Yeh yaadon ke toofan sambhal lein gey hum to
Laikin na samett sako gi tum humari is mohabbat ko
Kis ne kaha zamane se dartein hein hum
Arey is jahan se khud ko mita dein ghe hum
Par tera naam kitabon se kya
Dil se bhi na mita payenge hum
Ek baat Sach kahi aapne
Zikar aapke mein to zaroor muskurayen gay
Laikin iss liye nahin ke aapki baatein yaad ayin
Kyun ke baatein yaad rakhna humari aadat nahin
Hum to aisse hi muskuraeinge
Jab jab aap ki yaad aygi
Chain to churaliya hai aapne humara
Yakeen na aye to azma ker dekh lena
Jo hain aap ke saath kuch bitaiye hue lamhein
Wohi ab judai mein aap ki roz jaan meri nikalengi.