Hum Tum Board

Shayari & Urdu Adab => Shair o Shairi => Topic started by: Leon on July 12, 2010, 02:56 PM

Title: sanam tarash par aadab e kafira na samajh
Post by: Leon on July 12, 2010, 02:56 PM
sanam tarash par aadab e kafira na samajh
harr aik sang e sar e raah ko Khuda na samajh

mai tujhko mang raha hoo'n qubool kar k na kar
ye baat teri meri hai isey dua na samajh

palat k aayega wo bhi gayee ruto'n ki tarah
jo tujh se roothh gaya hai usey juda na samajh

rah e wafa mai koi aakhri maqam nahee'n
shikast e dil ko mohabbat ki inteha na samajh

harr aik sahib e manzil ko ba_murad na jaan
harr aik raah nashee'n ko shikashta paa na samajh

FARAZ aaj ki dunya merey wujood mai hai
merey sukhan ko faqat mera tazkira na samajh
Title: Re: sanam tarash par aadab e kafira na samajh
Post by: rozi on December 14, 2010, 02:31 AM
very nice