Recent Posts

Pages: 1 [2] 3 ... 10
11
Shair o Shairi / Tere Ishq Ki Inteha Chahta Huun
« Last post by Ajnabi on September 10, 2021, 03:23 AM »
Tere Ishq Ki Inteha Chahta Huun
Meri Sadgi Dekh Kya Chahta huun
sitam ho ki ho vada-e-be-hijabi
koi baat sabr-azma chahta huun
ye jannat mubarak rahe zahidon ko
ki main aap ka samna chahta huun
zara sa to dil huun magar shoḳh itna
vahi lan-tarani suna chahta huun
koi dam ka mehman huun ai ahl-e-mahfil
charagh-e-sahar huun bujha chahta huun
bhari bazm men raaz ki baat kah di
bada be-adab huun saza chahta huun
12
Shair o Shairi / Tu Shahin Hai Parvaz Hai Kaam Tera Tere Samne Asman Aur Bhi Hain
« Last post by Ajnabi on September 10, 2021, 03:23 AM »
Tu Shahin Hai Parvaz Hai Kaam Tera
Tere Samne Asman Aur Bhi Hain
13
Nasha Pila Ke Girana To Sab Ko Aata Hai
Maza To Tab Hai Ki Girton Ko Thaam Le Saaqi
14
Hazaron Saal Nargis Apni Be-Nuri Pe Roti Hai
Badi Mushkil se Hota Hai Chaman Men Dida-var Paida
15
Nahin Tera Nasheman Qasr-e-Sultani Ke Gumbad Par
Tu Shahin Hai Basera kar Pahadon Ki Chatanon Men
16
Shair o Shairi / Ilm Men Bhi Surur Hai lekin Ye Vo Jannat Hai Jis Men Huur Nahin
« Last post by Ajnabi on September 10, 2021, 03:20 AM »
Ilm Men Bhi Surur Hai lekin
Ye Vo Jannat Hai Jis Men Huur Nahin
17
Dil Se Jo Baat Nikalti Hai Asar Rakhti Hai
Par Nahi Taqat-e-parvaz Magar Rakhti Hai
18
Haya Nahin Hai Zamane ki Aankh Men baaqi
Khuda Kare Ki Javani Teri Rahe Be-Dagh
19
Shair o Shairi / Band Kar Ke Meri Ankhen Wo Shararat Se Hanse
« Last post by Ajnabi on September 10, 2021, 03:19 AM »
Band Kar Ke Meri Ankhen Wo Shararat Se Hanse
Bujhe Jaane Ka Main Har Roz Tamasha Dekhun
بند کر کے مری آنکھیں وہ شرارت سے ہنسے
بوجھے جانے کا میں ہر روز تماشا دیکھوں
20
Shair o Shairi / eri Chahat Ke Begair Jangalon Mai
« Last post by Ajnabi on September 10, 2021, 03:18 AM »
teri Chahat Ke Begair Jangalon Mai
Mera Tan Mor Ban Kar Nachta Hai
تری چاہت کے بھیگے جنگلوں میں
مرا تن مور بن کر ناچتا ہے
Pages: 1 [2] 3 ... 10