jab sawan mein tanha bheego gay
jab aangan khali pao gay
jab sahil say takrati lehron mein
apni tanhayee mein kho jao gay
jab raat ko tanha daman mein
tum chand ko aadha paogay
jab khud say bateen kartay kartay
tum door kahiin kho jao gay
jab dil ki baat chopanay ko
tum hum say nazar chorao gay
"Mein tum say muhabbat karta hoon"
har bar yeh sunna chaho gay
In sab lamhoon mein jaan laynaa kay
Tum tum nahi "HUM" ban jao gay