Mujhe ik bar phir,
Yadon ki nagri main,
Janay ka hukum mila,
Main ne tooti chori nikali,
Rakht-e-safar ko bandha,
Dhaltay suraj ko gawah bana,
Main us dais main ja utra,
Jahan haseen pal kuch bitaye thay,
Kuch roop suhanay dikhay thay,
Us raat ki sari narmi phir,
Ankhon main aj utri thi,
Jis raat sitaare roshan thay,
Main ne jab uski kalai thami thi,
Phr chooriyan main ne pehnai theen,
jo saaz ki manind bajti raheen,
Wo raat suhani kitni thi,
Main sooch main ussi ki doba tha,
K pass chori walay k wo nazar ayi,
Meri ankhain utheen phr hileen,
Rokeen phr tehr gayeen,
Usay kitnay rooz bad aj daikha tha,
Ankhon k rastay dil main utartay,
Najanay kitnay pal beetay,
K uski nazron ne mjhe ghaira,
Mera bandha hisar tora,
Wo taiz dorti ojhal hoi,
Magar main ye daikhta kaise,
Usay rookta kaisa,
K mere dehan main to bas,
Wo do nazuk khali kalayan theen,
Wo kiun aj khali theen?
Kia mere hijr main aisa tha?
Main to ye samjhta tha,
K usay aj bhi choriyan achi lagti hain!