ABR E KOHSAR
HAY BULANDI SAY FALAK BOS NASHEMAN MERA
ABR E KOHSAR HOON GUL PASH HAY DAMAN MERA
KABHI SEHRA' KABHI GULZAR HAY MASKAN MERA
SHEHR O WERANA MERA' BEHAR MERA' BAN MERA
KISI WADI MEIN JO MANZOOR HO SONA MUJH KO
SABZA KOH HAY MAKHMAL KA BICHONA MERA
MUJH KO QUDRAT NAY SIKHAYA HAY DUR-AFSHAN HONA
NAQA SHAHID E REHMAT KA HUDI KHAWAN HONA
GHAM ZWA E DIL E AFSU R O DEHQAN HONA
RONAQ E BAZAM E JAWANA NE GULISTAN HONA
BAN KE GESU RUKH E HASTI PE BIKHAR JATA HOON
SHANA MOHA SAR SAR SAY SANWER JATA HOON
DOOR SAY DEED UMEED KO TARSATA HOON
KISI BASTI SAY JO KHAMOSH GUZAR JATA HOON
SER KARTA HUWA JIS DAM LAB E JOO ATA HOON
BALIYAN NEHAR KO GARDAB KI PEHNATA HOON
SABZA MAZRA E NOKHEZ KI UMEED HOON MEIN
ZAQ BEHAR HOON PERWARDA KHORSHEED HOON MEIN
CHASHMA KOH KO DI SHORASH E QULZAM MEIN NAY
OUR PARINDOON KO KIA MEHV E TARANNUM MEIN NAY
SAR PE SABZEY KE KHARRAY HO KE KAHA QUM MEIN NAY
GHUNCHA E GUL DIYA ZOQ E TABASSUM MEIN NAY
FEZ SAY MERAY NAMOONAY HEIN SHABISTANOON KAY
JHONPARRAY DAMN E KOHSAR MEIN DEHQANOON KE
(Dr. Muhammad Iqbal)