SARGAZISHT E ADAM - 1
SUNAY KOI MERI GHURBAT KI DASTAN MUJH SAY
BHULAYA KISSA E PEMAN E AWWALEEN MEIN NAY
LAGI NA MERI TABIYAT RAYAZ E JANNAT MEIN
PIYA SHAOOR KA JAB JAM E ATESHEEN MEIN NAY
RAHI HAQEEQAT E ALAM KI JUSTAJOO MUJH KO
DIKHAYA OWJ E KHIYAL E FALAK NASHEEN MEIN NAY
MILA MIZAJ TAGHAYYUR PASAND KUCH AISA
KIA KARAR NA ZER E FALAK KAHEIN MEIN NAY
NIKALA KA'ABAY SAY PATHAR KI MOORTOON KO KABHI
KABHI BUTOON KO BANAYA HARAM NASHEEN MEIN NAY
KABHI MEIN ZOQ E TAKKALUM MEIN TOOR PER POHNCHA
CHUPAYA NOOR AZAL ZER E ASTEEN MEIN NAY
KABHI SALEEB PE APNOON NAY MUJH KO LATKAYA
KIA FALAK KO SAFAR' CHORR KER ZAMEEN MEIN NAY
KABHI MEIN GHAR E HIRA MEIN CHUPA RAHA HOON BARSOON
DIYA JAHAN KO KABHI JAM E AKHEREEN MEIN NAY
SUNAYA HIND MEIN AA KER SAROOD E RABBANI
PASAND KI KABHI YOONAN KI SERZAMEEN MEIN NAY
DAYYAR E HIND NAY JIS DAM MERI SADA NA SUNI
BASAYA KHITTA E JAPAN E MULK E CHEEN MEIN NAY
Dr. Allama Muhammad Iqbal