TASWEER E DARD
BIYABAN E MOHABBAT O SHAT E GHURBAT BHI' WATAN BHI
YEH WERANA QAFAS BHI' ASHIYANA BHI' CHAMAN BHI HAY
MOHABBAT HI WO MANZIL HAY KEH MANZIL BHI HAY SEHRA BHI
JARAS BHI' KARWAN BHI' RAHBER BHI' REHZAN BHI HAY
MARAZ KEHTAY HEIN SAB IS KO' YEH HAY LEKIN MARAZ AISA
CHUPA JIS MEIN ILAJ E GARDISH E CHARAKH E KOHAN BHI HAY
JALANA DIL KA HAY GOYA SARAPA NOOR HO JANA
YEH PERWANA HAY JO SOZAN HO TOW SHAMMA E ANJUMAN BHI HAY
WOHI IK HUSN HAY' LEKIN NAZAR ATA HAY HER SHE MEIN
YEH SHEEREEN BHI HAY GOYA BESTOON BHI' KOHKAN BHI HAY
UJARRA HAY TAMEEZ E MILLAT O AIN NAY QOUMOON KO
MERAY AHL-E-WATAN KAY DIL MEIN KUCH FIKAR E WATAN BHI HAY?
SAKOOT AMOZ E TOOL E DASTAN E DARD HAY WARNA
ZUBAN BHI HAY HAMARAY MUN MEIN OUR TAB E SUKHAN BHI HAY
NASEEGAR O YAD KO TEH RISHTA E MA'ANI RAHA KER DAM
HAKAYAT BOOD BE PAYAN' BA-KHAMOSHI ADA KER DAM
Dr. Allama Muhammad Iqbal