Jawaab dogey na ??
Jab kabhi main kho jaon to ?
Mujhe dhoond logey na ?
Jab kabhi main tanha rahon ?
Mera saath dogey na ?
Jab kabhi mere behke kadam ?
Tum thaam logey na ?
Jab kabhi mushkil ho safar ?
Tum sang chalo gey na?
Jab kabhi de awaaz dil ?
Tum sun loogey na ?
Jab kabhi toote khawaab to ?
Tum bana loogey na ?
Jab kabhi mujh se ho khata ?
Tum bakhsh dogey na ?
Jab kabhi meri num ho ankhen ?
Tum payar dogey na ?
Jab kabhi gham aaye sanam ?
Tum bant loogey na ?
Jab kabhi mere ansu bahein ?
Tum poonch loogey na ?
Jab kabhi umar dhal jayegi ?
Tum yun he chahogey na ?
Mere in sawalon ka ?
Kuch to jawab doogey na….. ??