Author Topic: ~*~*Khurram's Collection*~*~  (Read 2798 times)

0 Members and 1 Guest are viewing this topic.

Offline coolmind2009

  • Newbie
  • *
  • Posts: 21
  • Reputation: 2
  • Gender: Male
    • Email
~*~*Khurram's Collection*~*~
« on: November 21, 2009, 10:30 PM »


Aik purana mausam lauta yaad bhari purwaee bhi,

Aesa to kum hi hota hai "woh" bhi ho tanhaee bhi,

Yaadun ki bocharrun se jab pulkein bheegne lagti hain,

Kitni achchi lagti hai tab, maazi ki ruswaee bhi,

Do do shaklen dikhti hain is behke se Aayene mein,

Mere saath chala aaya hai Aap ka ik saudaee bhi,

Khamoshi ka hasil bhi ik lambi si khamoshi hai,

Onn ki baat suni bhi hum ne apni baat sunaai bhi.

Offline coolmind2009

  • Newbie
  • *
  • Posts: 21
  • Reputation: 2
  • Gender: Male
    • Email
Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~
« Reply #1 on: November 21, 2009, 10:38 PM »
Jmal bn kr mr¡ ankh me smate ho

Khyal bn kr mre d¡l ko gudgudate ho

Kmal bn kr mr¡ z¡ndg¡ bnate ho

Wisal bn kr mre hosle brhate ho

Swal bn kr khyalon me state ho

Zwal bn kr pyar k¡ ¡nteha smjhate ho

Khuda gwah he mjhe tum yad aate ho

Offline coolmind2009

  • Newbie
  • *
  • Posts: 21
  • Reputation: 2
  • Gender: Male
    • Email
Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~
« Reply #2 on: November 21, 2009, 10:43 PM »
Phir Daman-E-Umeed Wo Phoolon Se Bhar Geya,

Jadu Bhri Nigah Se Jadu Sa Kar Geya..

Bus Dekhtay He Dekhtay Duniya Badal Gayi,

Kuch Sochtay He Sochtay Chehra Utar Geya.

Be-taab
Be-qarar Tha Pehlay He Dil Bohat,

Phir Aap ka Aana Aur Bhi
Be-taab Kar Geya,

Ik Be-khudi Ka Naam Muhabat Hai Dosto,

Chahat Mein Kis Ko Hosh Hai Kya Kya Guzar Geya,

Kuch Bhi Pata Nahi Hai Muhabat Mein Ae "Aakash..."

Kab Raat Subha Ban Gayi Kab Din Guzar Geya.

Offline coolmind2009

  • Newbie
  • *
  • Posts: 21
  • Reputation: 2
  • Gender: Male
    • Email
Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~
« Reply #3 on: November 21, 2009, 10:43 PM »
Dil ki dharkn mein mohabbat ki rawani de ja,

Koi afsana koi geet koi kahani de ja,

Walwale phir se dil-e-murda mein taaza ho jaein,

Ehd-e-ulfat ki koi yaad purani de ja,

Ya mere naam koi pyar bhara khat likh de,

Ya koi dhondh k tasveer purani de ja.

Offline coolmind2009

  • Newbie
  • *
  • Posts: 21
  • Reputation: 2
  • Gender: Male
    • Email
Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~
« Reply #4 on: November 21, 2009, 10:49 PM »

¤KASH¤

Kash K aisa hota ho

Wo rat Ko tnha sota ho

UsKi tnhai Ka hr pal

Bas mra he hota ho

Wo din bhr Ki sari batein

Yad se mri Krta ho

Wo ulJha ulJha rehta ho

MujKo hi sochta rehta ho

Jb yad usy mri ati ho

Lab Pe musKan theharti ho

AnKh se pani behta ho

Rat Ki Khamoshi me

b

wo Sansen mri sunta ho

Wo her chehre me b

Mra chehra dhundta ho

Apne hath Ki lKiron

me

Wo nam mra dhundta ho

Her dua me usKi bs

mra Nam he hota ho

KASH K aisa hota ho.

Offline coolmind2009

  • Newbie
  • *
  • Posts: 21
  • Reputation: 2
  • Gender: Male
    • Email
Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~
« Reply #5 on: November 21, 2009, 10:50 PM »
Adhorey khawab ke ander. .

Kabhi palkein bichhana mat!

Adhoorey khawab aankhon ko. .

bohat taklif detey hein.

Adhoori yaad ko dil ki ser-zameen mein tum nahi bona!

Adhori yaad dharkan mein. .

bohat chubti, sissakti hy!

Khalish ban ker khatakti hy!

Lahoo mein bijliyan ban ker bhatakti hy!

Adhorey pyaar ko. . . !

. . . laikin. . . .

Chalo! janey do isko ab!

Mohabbat, pyaar aur
chahat. . . , hotey hi adhoorey hein.

Offline coolmind2009

  • Newbie
  • *
  • Posts: 21
  • Reputation: 2
  • Gender: Male
    • Email
Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~
« Reply #6 on: November 21, 2009, 10:59 PM »
Main khud zameen, mera zarf aasmaan ka hai,
K toot kar bhi mera hosla chataan ka hai.
Bura na maan mere hurf-o-lafz zehr sahi
Main kya karun, k yehi zaaiqa zabaan ka hai.
Meri sanjeedgi mashhoor hai zamaane mein,
Meri khaamoshi bhi pehlu mere bayaan ka hai.
Har ek ghar pe musallat hai dil ki veeraani,
Tamaam shehr pe saaya mere makaan ka hai.
Bichhar k us se main bas is liye nahi bikhra,
Wo keh gaya tha yehi waqt tere imtehaan ka hai.
Edit/Delete Message

Offline coolmind2009

  • Newbie
  • *
  • Posts: 21
  • Reputation: 2
  • Gender: Male
    • Email
Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~
« Reply #7 on: November 21, 2009, 11:01 PM »
Shaam-E-Furqat Dhalay Hum Nahi Chahtay
Ghum Say Fursat Milay Hum Nahi Chahtay

Phir Naya Waar Sehnay Ko Tayyaar Hain
Tu Pareshaa’n Rahay, Hum Nahi Chahtay

Aaj Ansoo Bahaanay Say Mat Rokiye
Aaj Baarish Thamay, Hum Nahi Chahtay

Hum Teray Baad Ujrray Howay Theek Hain
Ab Kahin Dil Lagay, Hum Nahi Chahtay

Teray Paikar Ko Hum Dekhtay Hi Rahain
Tu Nazar Say Hatay, Hum Nahi Chahtay

Kis Qadar Dil Nasheen Hai Yeh Mojon Ka Shoor
Ghum Ka Darya Rukay Hum Nahi Chahtay

Iss Qadar Pyaar Se Tu Pukara Na Kar
Aag Dil Ko Lagay Hum Nahi Chahtay

Offline coolmind2009

  • Newbie
  • *
  • Posts: 21
  • Reputation: 2
  • Gender: Male
    • Email
Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~
« Reply #8 on: November 21, 2009, 11:01 PM »

Hawa ke rukh pe hum deep jala rahe hein
dushman e jaan ko jaan se qareeb laa rahe hein

jab se hey hum pe unki nazar e iltafaat
soghaatein hamare liye raqeeb laa rahe hein

sare e shaam ghar mein roshni ke liye
hum jalate hein dil woh deep jala rahe hein

dushmane jaan hi hey hamara maseiah yaaro
log kiun humare liye tabeeb bula rahe hein.

dekha aaj unko ghair se mehve guftagoo
socha tha kiya, kiya naseeb dikhla rahe hein

Offline coolmind2009

  • Newbie
  • *
  • Posts: 21
  • Reputation: 2
  • Gender: Male
    • Email
Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~
« Reply #9 on: November 21, 2009, 11:01 PM »
Kabhi usse bhi meri yaad satati hogi,
Apni aankhon mein mere khawaab sajati hogi,


Wo jo har waqt khayaalon mein basi rehti hai,
Kabhi to meri bhi socho mein kho jaati hogi,


Wo jiski raah mein palkein bichhi rehti hai,
Kabhi mujhe bhi apne paas bulati hogi,


Labon par rehti hai wo har pal hansi bankar,
Tasawar se mere, wo bhi muskuraati hogi,


Wo jo shaamil hai mere geet mere naghmo mein,
Kabhi tanhai mein mujhko gun gunaati hogi,


Jiske liye mera dil beqaraar rahta hai,
Mere liye apna chain bhi gawanti hogi,


Jisse izhaar-e-wafa har pal karna chahoon,
Kabhi iqraar to wo bhi karna chahti hogi,


Jiske liye meri har raat hai karwat karwat,
Kabhi to use bhi neend na aati hogi,


Jiski ulfat ki shama se hai mera dil roshan,
Meri chahat ke wo bhi deep jalati hogi,


Ghame-e-firaaq mera hi muqadar hai ya phir,
Meri judaai use bhi yuhi rulati hogi..!!!