jab door ufaq par laali ho
jab shaam udaasi wali ho
jab zabt ka bandhan toota ho
jab aas ka daaman chota ho
jab milan se pyaas bhujate ho
jab mausam geet sunata ho
jab kaan hon tarsey baaton ko
jab neend na aaye raaton ko
jab aankhon main rat-jagge hon
jab apney dard satatey hon
tab, yaad bohot tum aate ho