sukoon-e-jaan k lye ab main dua kase karun?
dard jab tu ne dya hai tu gila kase karun?
aksar lotti hun manzil se yehi soch kar main
ab mukamal yeh safar tere bina kase karun?
thi koi mere he hathon ki lakeeron main kami
apni taqdeer ka ab tujh se gila kase karun?
ab munasib yehee hai us ko bhula dun
han magar phool ko khushbu se juda kase karun