sanam tarash par aadab e kafira na samajh
harr aik sang e sar e raah ko Khuda na samajh
mai tujhko mang raha hoo'n qubool kar k na kar
ye baat teri meri hai isey dua na samajh
palat k aayega wo bhi gayee ruto'n ki tarah
jo tujh se roothh gaya hai usey juda na samajh
rah e wafa mai koi aakhri maqam nahee'n
shikast e dil ko mohabbat ki inteha na samajh
harr aik sahib e manzil ko ba_murad na jaan
harr aik raah nashee'n ko shikashta paa na samajh
FARAZ aaj ki dunya merey wujood mai hai
merey sukhan ko faqat mera tazkira na samajh