Jise dekh paana bhi na ho mumkin yaar,
Usse hai mohabbat, mujhe khud pe garoor hai,
Uski narajgi ki wajah na ban jao kahii.n,
Inkaar-e-mohabbat, karne ko dil majboor hai,
Rooth.te hai to rooth jaaye duniya wale,
Ham to hai aashiq unke, unhe paana zaroor hai,
Ishq ki dastaane bahut hongi kitabo me,
Aaj kal charcha mere ishq ki, logo me mashhoor hai,
Zara sambhal ke, ishq-e-raah hai,
Ye to hai aabhi aagaz, anjaam bahut door hai..