(http://img142.imageshack.us/img142/1378/healinghandslarger1.jpg) (http://img142.imageshack.us/i/healinghandslarger1.jpg/)
By pakiht (http://profile.imageshack.us/user/pakiht)
mujhe gumaan tha ke chaha zamane ne mujhe
azeez sab ko thi magar zaruraton ki taraha
jinke liye sada tadpa kiye....jinka her derd lahu rulata raha.....vo her rishta jo qudrat ki dane tha...aaj mud ke dekha tou bas ek khwab sa laga...jise khuli ankhon se nibhaya gaya....aur jinki yaad may khud ko bhulaya...unhen ab hum yaad bhi na they....khud ko halaath aur gardish-e-zamane ki saleb per chada kar ye socha tha ke chalo kuch tou zindgi ka mole tha...kisi ke waste hi sahi ye zindgi kaam aagaii...magar ye bhi ek saraab tha...nazar ka dhoka.....apne aap may ek sangeen sachaii....ke jo preet humne nibhaii khud humen hi ras na aai...haqeeqaton se nazar chura kar ek umr ganwaii...ke jo anter Aatma kehti hai hosakta hai mahaz ek gumaan ho...hosakta hai...magar aisa tha nahi..aur baatin se ubharti huii awaaz jhutlaii kaise jasakti thi....but gaya her vo rishta jise samet kar rakhne ki koshish ki..umr ke vo saal jahaan arzu jawan thi...khwab haseen they....jinko diye vo mah-o-saal unki yaadon may tak zaya hogaye....kisi ko ab kuch yaad tak nahi...rishte....jinki buniyaad ki misalen di jaati hain...jinse nibah ko ferz samjha jata hai....sirf aur sirf mohabbat per hi tike hain...gar ye nahi tou kuch bhi nahi...
Mohabbat bhara dil samjhoton ke liye hamesha tayyar rehta hai..muafi khuda ka pasandeeda amal hai..laghzishen nasl-e-adam ki ghutti may padi hui..so inki sazaayen nahi di jaateen..so darguzar ke lambe arse ke baad bhi ....is kinare se us kinare tak ek sunnatta hi mila...sawal mile..shikwe shikayeten mileen..ilzaam mile....jinhen pure dil-o-taujoh se suna...samjha...samjhane ki koshish ki....umhm...sab be-sud...insaan apna karam sirf apni mohabbat-o-khushi se karta hai...phir badle may jo bhi mile unka ranj kya....
Aise they khokle rishte jinke darmyaan saans lena mushkil hogaya...aur apne ander jame jamud ko todne ka wahed zariya qalam tha....ye qalam sab se pyaara aur sab se purana saathi....haan yehaan vo saare baandh tute...saare ruke huye chasme phute...saara lava bah nikla....
Rahbari ki sangat ne isey ek naya mod diya....khud ko bhulja...phir kya tha...wahi lafzon may dhalne laga...mano mujh se vo likhaya gaya jo beetne wala tha...waqi ek shayer ne sahi kaha...ye sher ilhami hain...ye khyal khuda ki dane hain...ye tajruba bhi kiya maine...gharz,rishte jis rang may bhi milen, aur unsey humen jo bhi mile....her haal may apni haqeeqat rakhte hain..derd den ke khushi....saath chalte hain....
Ajmer shareef..jahaan pahunch kar logon ko madine ki galiyaan yad aajati hain..Gunbad-e-tajdaar dekh kar saltanaton ka ser jhukana yaad aata hai...aur soch ki perwaz un sajda-rez dilon ki janib jub hoti hai ....tab vo manzar saaf dikhaii deta hai...ke dilon ki aseeri kya hoti hai...ye qilla fatah kaise kiya jaata hai...jo kal talak zameenon ki taskheer per maghrur they...unhon ne jaana ke asl maza tou aseeri may hai....khud ko unke karam ke hawale karke khud saayel bane jo haazir huye...vo ek pal jise bhi naseeb hua vo ghani hogaya....
Gharz taaragarh se wapsi khaali haath nahi huii ..koi saath bhi holiya...wahi banda-e-khuda jo achanak namudar hua tha..mujhe to aisa lagta hai jaise raah-e-khizar se khizar ki rehbari .....dusre din alas-subha jub namaz-e-fajar ke baad hum Arcot dalan se khuddam ki khidmat-o-aqeedat ka nazara le rahe they...us waqt ka samaan bada rooh-perwar tha...gulabon se mehkta hua ....her ankh makhmur thi....goya ab kisi nazare ki hawas usko nahi...aur ho bhi kaise...junnat ki hawayen..deedaar e khwaja fakhr-e-do jahaan..unke ashiqon ke jhund.....vo ped jiski nhanni munni chidiaan tak paband-e-ehtraam dikhai deti hain...waqt-e-namaz achanak unki chahchahat ka ruk jana...kyon na ho...aakhir HindulWali ka dar hai..aur her dil ko rab ki jaanib adab-o-ehtraam lazim hai..
Darr-e-nawaz per bula kar apne qurb-o-mohabbat ka waseela baksha khuda ne....uske ayaan hone ke andaz nirale hain..kahin koi jabar nahi...kub banda uska hojata hai khabar nahi..vo be-sukun jise sukun ki ho talaash...dar-e-nawaz per jaaye..aur dil ki murad paaye...isi may chupa hai khudavand ka raaz...saari bechainion ka jawab ban kar milti hai unki mohabbat...ye silsila-e-fazal-o-karam ka markaz-e-wahed faqat ek dil....jo khud ki justaju may khuda ko paaleta hai...khuda unhen hi milta hai jinke dilon may wassaten hon.....uske qurb ki chah ho...uske mehbub ki mohabbat ho..yehaan mehbub ki mohabbat her mohabbat lutati nigaah may mili..vo jaanisari ka shauq,vo karamfermaii may pehal...vo rahnumaii ki mashaal....gharz ishq ishq nazar nazar....her nazar karam ki nazar....
khamoshi bol uthe her nazar payaam hojaye
ye sunnatta had se badhe khoraam hojaye
Bas khoraam hi tou mach gaya tha ..us waqt charon taraf afratafri thi ..kirdar-o-akhakh kodion ke mole bik rahe they...bhaii bhaii ka dushman bana baitha tha....her rishta apne buniyadi usul kho baitha tha..aur derd-mandon ke derd pukaar ban gaye they ek subha Saadhiq mili zulmaton ko...ek Ose ki bund ankhon may shaamil huii....moqadas duayen unhi ka mehkta paighaam theen....aamad aamad thi ek naye daur ke ibtida ki..log kal talak zindgi ki uljhanon may uljhe huye they..unhen apne siwa kisi ka hosh na tha...tez-raftar zamane ne hungama barpa kar rakha tha..koi lamha fursat ka ghum-e-dauraan se khaali na tha...aise may apne tamamtar fazilaton ke saath Rehabar Kaamil ka miljana khushnaseebi thi...Ghareeb Nawaz ko jis kaar-e-khair ke liye mulk sonpa gaya ...us ki ek kadi yehan aakar mili...unke Carvan ka salaar they...khalifa-e-daur haasil-e-murad-o-surur khwaja saheb ke payamber they..waqt ki maang ko samjhte huye naye daur ki naii nasal ko bilkul unhi ke rang-o-roop may mile...aur unhen apne qareeb karne ka amal itna sada aur dil-fareb raha ke unka rishta her rishte se barter ban gaya...dilon may nazdikiyaan paida karne ka saleeeqa mil gaya musahebon ko saheb se....
Murshad ki nazar e karam khud daras hoti hai..so unki her nazar,her lafz amal ki taraf raghib hone ka paighaam tha....ghaur-o-fikr ki ek saa-at ibadat se badh kar hai...baat samjh may aai...aur lamha-e-fikr baatini safar ki raahen tayeen karta gaya....aur hum-qadam rehbari hausla badhati rahi...gharz sare sunnatte bol uthe...aur khamosh paighaam dilon tak pahunchne lage...ye karam jiske peeche khud Khuda karferma hai jub bandon ko miljaaye tou samjh lena chahiye ke talaash mukamal huii..
Talaash ko jub manzil miljaaye ...phir karam ki ibtida hai...so jitne daras mile unki tabligh ka zimma bhi khud bakhud nasib hojata hai...vo yon ke dil khud bakhud uski zubaan ban jaata hai .so jub bhi zubaan bayan huii paighaam-e-rasti ka izhar huii..so saheb...humen jo mila vo sab may bant-te rahe....haan derd dil may rahe khud sab ka darmaan bane...dil aur dimagh aksar mutazad rahon per modne ki koshish karte hain...aise may imtiyaaz-e-haq lagaam ban jaata hai...raahen khud bakhud samne aa khadi hoti hain..ye khuda ka karam hota hai...gharz buniyad mazbut ho tou banda asal pa hi leta hai..kyonki haq apni jaden door door tak phailaye hota hai...bhale waqt unhen kamzor karne ki koshish kare..waqt aur halaath gumrahi ka sabab hote hain....aur khuda jise chahe usey madad faraham karde...Rahbari ke liye bhi dil chune jaate hain..nigaah-e-khaas ke bhi makhsus markaz hote hain...jub batini paighaam miljaye...ye khusbakhti ki dalil hoti hai...
So saheb...safar ...Rehbar...aur mere Khwaja ka dar....zindgi khubsurat hogaii..unki zaat ka sukun meri zaat may uter jaaye dil yehi mangta raha...kyonki is se badi daulat koi nahi...kitne log jaante hain ke khushi kise kehte hain...ye israar khulte khulte ek umr beet jaati hai...zindgi ka her falsfa dhara ka dhara reh jaata hai...insaan jo khwabon ka aadi hai haqeeqaton se ghabrata hai...jub tak unka saamna karne ka hausla juta paata hai...khwab aur haqeeqaton ki kash-makash usey adh-mara kar deti hain...zindgi bojh ban jaati hai...so is se pehle ke zindgi ki shaam hojaye kyon na zindgi se mila jaaye..uski maang ko samjha jaaya...us laa-zawaal sukun ki jaanib dil ko raaghib kiya jaaye jo saare mahol ko baharaan karde....sukun hi khushi ki jud hai..gar ye nahi tou naam-nihaad khushian kub maza deti hain....so rab ki meherbanion ko mehsus karna hi khushnasibi hai...
Mere safar ka ye padau abdi khushi le kar mila....mujhe musafaton ka pata hi na chala...humsafar hum-qadam ke rang may saara alam rangeen tha..aur ye rang insaniyet ki meraaj they....
raini chadi rasul ki, rang maula ke haath
jiski chunari rangdi, uske dhan dhan bhaag
sitamgar sada hansta raha...usey ghurur tha khud ke taqatwar hone ka...uski zad may kitne dil they..unki halath-e-zaar se lutf andoz hona koi is se seekhe...ye waqt...daur pe daur laane wala ye waqt...be-wafa kabhi, kabhi atta...koi kahaan samjh paaya iski chaal...aksar dil nadaan aate hain, namurad jaate hain..fikr ka lamha gar mil bhi jaaye tou daman sirf pasehmaniyan liye milta hai....kyon ki tab tak waqt apni chaal chal chuka hota hai..yaane charon khaane chit kar hi deta hai...sabr ki talqeen bahut asaan, amal bada mushkil...bahut kum dilon ko ye nasib hota hai..qina-at ki daulat jiske haath lagi vo azaad raha...her zanjeer se....usey waqt bhi na kamzor kar saka..bulki usne waqt ko thokar maari....haan jo azal se hi sisakta raha usey sada ye rulaya kiya....badi sitam-zarefi hai ye...
Gharz isi waqt ke hathon kaii dil lut-te rahe..naya kuch bhi nahi tha...per jis per jub bhi beeti uske liye tou sab kuch naya hi tou tha...uski hairan nigahon per kabhi waqt ko bhi pyaar aaya...haaye zalim tu kitna nadaan hai..tu ne mujhe nahi pehchana...mai vo waqt hun jo kabhi wafa na kar saka....arzuon ki tarha ,jawan saalon ki tarha,ummidon ki tarha,mai bhi haathon se phisal hi jaata hun...teri giraft may kabhi na aasaka vo waqt hun mai.....kaash..tu samjh paata....tu samjh ke bhi na samjha....waqt se bhi bada ek aur sitamgar tujh per haawi jo hai....jiska nasha hosh may aane hi nahi deta....bande ki buniyad bana baitha hai jo..khudaii mohabbat...ke mohabbat hi khuda hai....haan saheb...mohabbat hi ka nasha .......hosh ki dawa waqt bhi na karsaka.....bas yehin tou maat hai...jahaan gum bande ki zaat hai...warna waqt ki kya auqat hai......
Raqeeb jahaan may bahut mile hain magar habeeb jo they unhen bhi hum paa na sake....ke talab ,faslon ki marhun-e-minnat hai...so hum bhi ab is dil ko veeran kar ke dekhenge...na kahenge kuch na sunenge...bas khamosh duniya ka tamasha hum bhi dekhenge....lahu ro kar khud natawan huye....lahu le kar arzu jawaan rahe...her chah mange hai rasam nibhane wali....ek-tarfa wafa hai hosh udane wali..azmana ho ,khud azamaye jaane ki shert rahe...
Khuda ki hikmat ...merdem shanasi hai...khuda bande ke darmyani kadi karsazi hai...waseelon ka matlab kitne jaan paaye hain..ye dostaan sab ko khuda se hi milaane aaye hain..yaqeen-o-gumaan ke darmyaan zindgi adhuri hai....saanson ki laye ke liye dhadkanon ka saaz zaruri hai...in sanson ke zer-o-bem may hi chupa hai vo lamha...jahaan bande ki soch tak na pahunche .........majnun dil soch se bhi khaali....jise apni khabar nahi vo kisi ki kub socche....karam ke andaz sabhi nirale hain....uff ye ashiq kitne bhole bhale hain...bande ki be-khabri may hi apna banalen....bande ko mehafil may apni bulakar jub chahen azmalen...
shab-khoon may mare gaye kitne....kitne dil bechare neelam huye....boli lagi qeemat badhi...unka naam sunehri hurfon may...jinhon ne waqt-e-faisla-e-saani bhi hosh may aana gawara na kiya saheb....mohabbat waqi jaadu hai...ek aisa rang hai saheb...ke ankhon se saare rang chin le jaaye..khuda ko pasand hai jo, uske ashiqon ko wahi tou mila hai...her mehbub ke dil may vo rahega ye usi ka faisla hai....ye derd ye hijr ye aahen.....usey itni pasand hain ke...apne mehbub ki deed se uske muhib ko tak mehrum rakha hai...ajab lazzaten hain ulfat ki azmane may....mohabbat hi khuda hai aur yehi shert hai khuda ko paane may....
Dar e Nawaz se jo mila hai vo to saans saans may mehkta hai..vo rutba jo bulandion ka zamin hai Rab ki zaat se hi juda hai..phir bande ke ehsasat per chahe bijliyan hi kyon na giren...jalaa kar usey khakster hi kyon na kar den...raakh bhi gawah hogi...mujhe ye mere mehbub se hi mila hai....maine usey surma bana liya..nainan may saja liya....usey garwa laga liya....usey yon apna bana liya ....ab judaii mumkin hi nahi...ke ye tou Rab ka faisla hai....ke wahi tou mera hausla hai....
mai sochti hun ke sochun kabhi tou uske siwa
karun mai kya meri chahon pe uska dera hai