Hum Tum Board

Shayari & Urdu Adab => Shair o Shairi => : coolmind2009 November 21, 2009, 10:30 PM

: ~*~*Khurram's Collection*~*~
: coolmind2009 November 21, 2009, 10:30 PM


Aik purana mausam lauta yaad bhari purwaee bhi,

Aesa to kum hi hota hai "woh" bhi ho tanhaee bhi,

Yaadun ki bocharrun se jab pulkein bheegne lagti hain,

Kitni achchi lagti hai tab, maazi ki ruswaee bhi,

Do do shaklen dikhti hain is behke se Aayene mein,

Mere saath chala aaya hai Aap ka ik saudaee bhi,

Khamoshi ka hasil bhi ik lambi si khamoshi hai,

Onn ki baat suni bhi hum ne apni baat sunaai bhi.
: Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~
: coolmind2009 November 21, 2009, 10:38 PM
Jmal bn kr mr¡ ankh me smate ho

Khyal bn kr mre d¡l ko gudgudate ho

Kmal bn kr mr¡ z¡ndg¡ bnate ho

Wisal bn kr mre hosle brhate ho

Swal bn kr khyalon me state ho

Zwal bn kr pyar k¡ ¡nteha smjhate ho

Khuda gwah he mjhe tum yad aate ho
: Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~
: coolmind2009 November 21, 2009, 10:43 PM
Phir Daman-E-Umeed Wo Phoolon Se Bhar Geya,

Jadu Bhri Nigah Se Jadu Sa Kar Geya..

Bus Dekhtay He Dekhtay Duniya Badal Gayi,

Kuch Sochtay He Sochtay Chehra Utar Geya.

Be-taab
Be-qarar Tha Pehlay He Dil Bohat,

Phir Aap ka Aana Aur Bhi
Be-taab Kar Geya,

Ik Be-khudi Ka Naam Muhabat Hai Dosto,

Chahat Mein Kis Ko Hosh Hai Kya Kya Guzar Geya,

Kuch Bhi Pata Nahi Hai Muhabat Mein Ae "Aakash..."

Kab Raat Subha Ban Gayi Kab Din Guzar Geya.
: Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~
: coolmind2009 November 21, 2009, 10:43 PM
Dil ki dharkn mein mohabbat ki rawani de ja,

Koi afsana koi geet koi kahani de ja,

Walwale phir se dil-e-murda mein taaza ho jaein,

Ehd-e-ulfat ki koi yaad purani de ja,

Ya mere naam koi pyar bhara khat likh de,

Ya koi dhondh k tasveer purani de ja.
: Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~
: coolmind2009 November 21, 2009, 10:49 PM

¤KASH¤

Kash K aisa hota ho

Wo rat Ko tnha sota ho

UsKi tnhai Ka hr pal

Bas mra he hota ho

Wo din bhr Ki sari batein

Yad se mri Krta ho

Wo ulJha ulJha rehta ho

MujKo hi sochta rehta ho

Jb yad usy mri ati ho

Lab Pe musKan theharti ho

AnKh se pani behta ho

Rat Ki Khamoshi me

b

wo Sansen mri sunta ho

Wo her chehre me b

Mra chehra dhundta ho

Apne hath Ki lKiron

me

Wo nam mra dhundta ho

Her dua me usKi bs

mra Nam he hota ho

KASH K aisa hota ho.
: Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~
: coolmind2009 November 21, 2009, 10:50 PM
Adhorey khawab ke ander. .

Kabhi palkein bichhana mat!

Adhoorey khawab aankhon ko. .

bohat taklif detey hein.

Adhoori yaad ko dil ki ser-zameen mein tum nahi bona!

Adhori yaad dharkan mein. .

bohat chubti, sissakti hy!

Khalish ban ker khatakti hy!

Lahoo mein bijliyan ban ker bhatakti hy!

Adhorey pyaar ko. . . !

. . . laikin. . . .

Chalo! janey do isko ab!

Mohabbat, pyaar aur
chahat. . . , hotey hi adhoorey hein.
: Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~
: coolmind2009 November 21, 2009, 10:59 PM
Main khud zameen, mera zarf aasmaan ka hai,
K toot kar bhi mera hosla chataan ka hai.
Bura na maan mere hurf-o-lafz zehr sahi
Main kya karun, k yehi zaaiqa zabaan ka hai.
Meri sanjeedgi mashhoor hai zamaane mein,
Meri khaamoshi bhi pehlu mere bayaan ka hai.
Har ek ghar pe musallat hai dil ki veeraani,
Tamaam shehr pe saaya mere makaan ka hai.
Bichhar k us se main bas is liye nahi bikhra,
Wo keh gaya tha yehi waqt tere imtehaan ka hai.
Edit/Delete Message
: Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~
: coolmind2009 November 21, 2009, 11:01 PM
Shaam-E-Furqat Dhalay Hum Nahi Chahtay
Ghum Say Fursat Milay Hum Nahi Chahtay

Phir Naya Waar Sehnay Ko Tayyaar Hain
Tu Pareshaa’n Rahay, Hum Nahi Chahtay

Aaj Ansoo Bahaanay Say Mat Rokiye
Aaj Baarish Thamay, Hum Nahi Chahtay

Hum Teray Baad Ujrray Howay Theek Hain
Ab Kahin Dil Lagay, Hum Nahi Chahtay

Teray Paikar Ko Hum Dekhtay Hi Rahain
Tu Nazar Say Hatay, Hum Nahi Chahtay

Kis Qadar Dil Nasheen Hai Yeh Mojon Ka Shoor
Ghum Ka Darya Rukay Hum Nahi Chahtay

Iss Qadar Pyaar Se Tu Pukara Na Kar
Aag Dil Ko Lagay Hum Nahi Chahtay
: Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~
: coolmind2009 November 21, 2009, 11:01 PM

Hawa ke rukh pe hum deep jala rahe hein
dushman e jaan ko jaan se qareeb laa rahe hein

jab se hey hum pe unki nazar e iltafaat
soghaatein hamare liye raqeeb laa rahe hein

sare e shaam ghar mein roshni ke liye
hum jalate hein dil woh deep jala rahe hein

dushmane jaan hi hey hamara maseiah yaaro
log kiun humare liye tabeeb bula rahe hein.

dekha aaj unko ghair se mehve guftagoo
socha tha kiya, kiya naseeb dikhla rahe hein
: Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~
: coolmind2009 November 21, 2009, 11:01 PM
Kabhi usse bhi meri yaad satati hogi,
Apni aankhon mein mere khawaab sajati hogi,


Wo jo har waqt khayaalon mein basi rehti hai,
Kabhi to meri bhi socho mein kho jaati hogi,


Wo jiski raah mein palkein bichhi rehti hai,
Kabhi mujhe bhi apne paas bulati hogi,


Labon par rehti hai wo har pal hansi bankar,
Tasawar se mere, wo bhi muskuraati hogi,


Wo jo shaamil hai mere geet mere naghmo mein,
Kabhi tanhai mein mujhko gun gunaati hogi,


Jiske liye mera dil beqaraar rahta hai,
Mere liye apna chain bhi gawanti hogi,


Jisse izhaar-e-wafa har pal karna chahoon,
Kabhi iqraar to wo bhi karna chahti hogi,


Jiske liye meri har raat hai karwat karwat,
Kabhi to use bhi neend na aati hogi,


Jiski ulfat ki shama se hai mera dil roshan,
Meri chahat ke wo bhi deep jalati hogi,


Ghame-e-firaaq mera hi muqadar hai ya phir,
Meri judaai use bhi yuhi rulati hogi..!!!
: Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~
: coolmind2009 November 21, 2009, 11:02 PM
Muhabbat mein aazmaeish nahein ki jaati
isse nibhaney ki famaeish nahein ki jaati

Piyar mein aatey hein qaddam qaddam sakht muqam
dil ke zakhmon ki tu numeish nahein ki jaati

Hijjar mein jo milne lagge wassal ka lutff
tu phir milne ki khawaish nahein ki jaati

Aggar nah milna hi ho waqt ka taqqaza
esse mein tu milne ki laghzish nahein ki jaati

Khush naseebi se jo mill bethein do dil
tu zamane mein uski zaibaeish nahein ki jaati

Jin ko ho millna aur woh mill nah paein
dil se kabhi bhi woh hasarat-o-yaas nahein jaati

Piyaar tu hey muqaddron ka khel
jo nah mill sake piyar tu gujaresh nahein ki jaati
: Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~
: coolmind2009 November 21, 2009, 11:02 PM
*~* Na koi khuwaab na koi dost tha...

Na koi khuwaab na koi dost tha...
is muhabbat mein, mein akela tha...


ishq mein tum khaan ke sache the...
jo azziyat thi hum ne jheli thi...


yaad ab kuchh nahin raha lekin...
aik darya tha ya haweli thi...


jis ne uljha ke rakh diya dil ko...
woh muhabbat thi ya paheli thi...


mein zara si bhi kam wafa kerta...
tum ne to meri jaan leli thi...


waqt ke saanp kha gaye us ko...
mere aangan mein aik chanbeli thi...


is shab-e-gham mein kis ko batlaoon...
kitni roshan meri hatheli thi..
: Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~
: coolmind2009 November 21, 2009, 11:03 PM
Kabhi usse bhi meri yaad satati hogi,
Apni aankhon mein mere khawaab sajati hogi,


Wo jo har waqt khayaalon mein basi rehti hai,
Kabhi to meri bhi socho mein kho jaati hogi,


Wo jiski raah mein palkein bichhi rehti hai,
Kabhi mujhe bhi apne paas bulati hogi,


Labon par rehti hai wo har pal hansi bankar,
Tasawar se mere, wo bhi muskuraati hogi,


Wo jo shaamil hai mere geet mere naghmo mein,
Kabhi tanhai mein mujhko gun gunaati hogi,


Jiske liye mera dil beqaraar rahta hai,
Mere liye apna chain bhi gawanti hogi,


Jisse izhaar-e-wafa har pal karna chahoon,
Kabhi iqraar to wo bhi karna chahti hogi,


Jiske liye meri har raat hai karwat karwat,
Kabhi to use bhi neend na aati hogi,


Jiski ulfat ki shama se hai mera dil roshan,
Meri chahat ke wo bhi deep jalati hogi,


Ghame-e-firaaq mera hi muqadar hai ya phir,
Meri judaai use bhi yuhi rulati hogi..!!!
: Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~
: coolmind2009 November 21, 2009, 11:03 PM
Chalo Ek Baar Phir Se Ajnabi Ban Jaayein Hum Dono

Na Mein Tum Se Koi Umeed Rakhoon Dil Nawaazi Ki

Na Tum Meri Taraf Dekho Ghalat Andaaz Nazron Se

Na Merey Dil Ki Dharhkan Larhkharhaaye Meri Baaton Mein

Na Zaahir Ho Tumhari Kash Makash Ka Raaz Nazron Se

Taaruf Rog Ho Jaye To Us Ko Bhulana Behter

Taaluq Bojh Ban Jaye To Us Ko Torhna Acha

Wo Afsaana Jisey Takmeel Tak Lana Na Ho Mumkin

Usey Ek Khoob Soorat Morh De Kar Chorhna Acha

Tumhain Bhi Koi Uljhan Rokti Hai Pesh Qadmi Se

Mujhey Bhi Log Kehtey Hain Ke Ye Jalwey Paraaye Hain

Merey Hamraah Bhi RuswaaiyaaN Hain Merey Maazi Ki

Tumhaarey Saath Bhi Guzri Hoyi Raaton Ke Saaye Hain

Chalo Ek Baar Phir Se Ajnabi Ban Jaayein Hum Dono....
: Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~
: coolmind2009 November 21, 2009, 11:04 PM
Mujhe Chanda Kaho, Jaan Kaho
Mujhe Apne Dil Ka Mehmaan Kaho
Mujhe Dekho Her Lamha Yunhi
Mujhe Tum Apni Pehchaan Kaho

Mai Puri Karoo Tumhari Her Khawahish
Mujhe Tum Apna Maaan Kaho
Her Haal Mai Tum Mujh Ko Hi Socho
Mujh Se Dil Ka Her Armaan Kaho

Her Lamha Tum Ko Hi Chahoon Mai
Mujhe Pyaar Ki Tum Apni Shaan Kaho
Mere Dil Ki Dharti Tumhari Hi Hai
Us ko Zameen Kaho, Aasman Kaho

Sab Karte Hain Baatain Tumhari
Her Azooo Ko Meri Zuban Kaho
Tumhari Dunia Mai Khoyi Rehti Hun
Mujhe Mast Kaho, Anjaan Kaho

Rakhoon Door Her Shaher Ko Tum se
Mujhe Dost Kaho, Negebaan Kaho
Bheek Pyaar Ki Apni De Do
Chahey Fakir Kaho, Sultan Kaho
: Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~
: coolmind2009 November 21, 2009, 11:04 PM
Me aisi mohbt krta hon
Tm kaisi mohbt krti ho
Tum jahan pe beth k jati ho
Me wahen pe betha rehta hon
Us chez ko choota rehta hon
Me aisi mohbt krta hoon

Tm jis se huns k milti ho
Me us ko dost banata hon
Tm jis raste pr chalti ho
Me us se ata jata hoon
Me aisi mohbt krta hon
Tm kaisi mohbt krti ho

Tm jin ko dekhti rehti ho
woh khawab sarhane rakhta hon
Tm se milne julne k
Kitne hi bahane rakhta hoon
Me aisi mohbt krta hon
Tm kaisi mohbt krti ho

Tm jahan bhi beth k jati ho
Jis chez ko hath lagati ho
Me wahen peh betha rehta hon
Us jaga ko choota rehta hoon
Me aisi mohbt krta hon
Tm kaisi mohbt krti ho


Kuch khawab saja kr ankhon me
Palkon say moti chunta hon
Koi lums agar choo jaye to
Me pehron us ko sochta hon
Me aisi mohbt krta hon
Tm kaisi mohbt krti ho

Jin logon me tm rehti ho
Tm jin se batein krti ho
Tm jin se huns k milti ho
Jo tm ko ache lagte hon
Wohi mujh ko ache lagte hain
Me aisi mohbt krta hon
Tm kaisi mohbt krti ho


Jis bagh me subh ko jati ho
Jis sabze par tum chalti ho
Jo shaakh tumhein choo jati hai
Jo khushboo tm ko bhaati hai
Woh oos tumhare chehre par
Jo qatra qatra girti hai
Woh tittli chor k phoolon ko
Jo tum se milne aati hai
Jo tum ko choone aati hay
Unn sab k nazuk jazbon main
Mere dil ki dharkan basti hai
Meri rooh bhi shamil rehti hai
Tm paas raho ya door raho
Nazron me samai rehti ho
Me tm ko takta rehta hon
Me tm ko sochta rehta hon
Me aisi mohbt krta hon
Tm kaisi mohbt krti ho

Jis college me tm parhti ho
Jis class me b tm jati ho
Jis kursi pe tm bethti ho
Jb class woh khali hoti hai
Me ja k us me bethta hon
Uss kursi ko me choota hon
Gadla sa ik tissue paper
Jo tm ne class me choora tha
Me pyar se uss ko choota hon
Me us ko purse me rkhta hon
Woh copy jis me lecture k t
m points likhti rehti ho
Hr moqay pr hr manzar me
Me saath tmhare rehta hon
Me chashm-e-tasavvur me aksar
Bs tm ko dekhta rehta hon
Bs tm ko sochta rehta hon
Me aisi mohbt krta hon
Tm kaisi mohbt krti ho
: Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~
: coolmind2009 November 21, 2009, 11:05 PM
Tootey Huwe Khuwabon Ne Hum Ko Yeh Sikhaya Hai
Dil Ne Jise Paya Tha Aankhon Ne Ganwaya Hai

Kya Apni Tammanna Thi Kia Samne Aya Hai
Dil Ne Jise Paya Tha Aankhon Ne Ganwaya Hai

Tootey Huwe Khuwabon Ne Hum Ko Yeh Sikhaya Hai
Dil Ne Jise Paya Tha Aankhon Ne Ganwaya Hai

Lot Aii Sadda Meri Takkra K Sitaroon Se
Ujri Hui Dunya K Sunsaan Kinaroon Se

Tootey Huwe Khuwabon Ne Hum Ko Yeh Sikhaya Hai
Dil Ne Jise Paya Tha Aankhon Ne Ganwaya Hai.......
: Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~
: Leon November 22, 2009, 12:42 AM
bohat khoob jee keep it up thumbsss
: Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~
: Super boy November 22, 2009, 12:54 AM
zbrdst sharing thanks
: Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~
: Samera November 27, 2009, 08:51 PM
nice sharing  for sharing
: Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~
: anjumkhan January 20, 2010, 08:29 PM
very nice sharing