Hum Tum Board
Islamic Board => Islamic Center => : Ajnabi December 11, 2009, 02:39 AM
-
Shaitaan ko door karey aur yhe pareh..................
Aap logon ne kabhi socha hai ke hum muslman kya kar rahey hai aj kal?,
kya hum ALLAH ke rastey par chal rahey hai?, kya hum Muhammad(sww) ke nakshe qadam par chal rahey hai?..
Hum sub insano ki mukhtalif mukhtalif soch hai aur views bhi kaafi mukhtalif hai,
Jo shayad hum soch rahey hai shayad aap mujh jaisa na soch rahey hoon..
Yhe aik azaad dunya hai, iss dunya mein hume mukhtalif insaan miltey hai, kuch logon ke amal achey hotey hai kuch logon ke achey nahi hotey, yhe hum is lye keh rahey hai AMAL, kyo ke hum kissi insaan ko bora nahi keh saktey, humare amal hume acha bora banatey hai..
Allah pak ne hume itna kuch dya hai, hum jitna shukar karey otnaa hi kam hai..
Lekin shukar karey to kese karey?, jub hum oss rastey par hi nahi hai, jiss rastey par ALLAH pak ne aur MUHAMMAD(SWW) ne chalne par farmaya hai..
Hum muslmano ki koi aapni soch nahi hai, aaj kaisa waqt aghaya hai ke hum kaafiron(non-muslims) ko follow kar rahey hai,..
Aghar hum sidhe raste par hotey to jo waqt aaj muslmano par aya hai who na ata..
Phir hum kehtey hai ke Allah humari sunta nahi, kya humne ALLAH ki suni hai??..
Kya humne who kya hai jo Allah pak ne Qura'n-e-pak mein farmaya hai?,
phir hum yhe kyo kehte hai ke Allah humari sunta nahi hai??..
Hume ilm hai haar aik cheez ka, phir bhi hum jaan kar anjaan bantey hai,
Hume jub pata hai ke namaz parni hai, phir bhi nahi parthey,
hume ilm hai ke humne quran-e-pak parh kar sirf rakh nahi dena, balkey sochna aur samajhna hai aur amal karna hai, phir bhi yhe nahi kartey..
Phir anjaan baney ka kya faida`? sub kuch aapke samney hai..
Namaz bohat zarori hai, yhe hume ALLAH pak ke aor qareeb le kar ati hai,
Allah pak farmata hai" aey mere bandey to meri taraf aik kadam bara, mein teri taraf 10 kadam baraonga"..
mera khud ka tajaruba hai, namaz insan jub partha hai, who aik nishani hoti hai ke aap Allah ki taraf ana chahtey hai.. Islye khudbakhod aap bore kamon se door ho jatey hai.. Kyo ke namaz ke sath sath aapko bohat milta hai..
Kehte hena, Jub Allah aapne bandey ko chahta hai, to oss bandey ke jo irdh girdh log hotey hai who bhii ossko passand kartey hai.
Humne iss dunya mein hamesha ke lye nahi rehna, hum sub ne is dunya se chaley jana hai, kyo na hum oss aney waley diin mein fakhar se karey hoon, ..
Aghey yhe kam nahi ana ke, aap kitney pareh likho ho, yha aapne kitni sharab ki bottles pi.. Nauosbillah... Balkey humare amal kam aenge, jo humne iss dunya mein kya hai.. Kyo na abhi se hi hum tayyari kar lein?..
Aapka shukria jo aapne aapna waqt nikal kar yhe parha..
Allah taa'la hum sub ko sidhe rastey aur ache amal karney ki taufeeq de.. AMIN..
-
Mashallah JazaKallah rose5
-
JazaKallah
-
JazaKallah
-
JazaKallah
-
JazaKallah