Hum Tum Board

Shayari & Urdu Adab => Shair o Shairi => : Samera December 20, 2009, 12:47 PM

: Chehry Parrta Ankhein Likhta Rehta Hoon
: Samera December 20, 2009, 12:47 PM
Chehry Parrta Ankhein Likhta Rehta Hoon


Chehry Parrta Ankhein Likhta Rehta Hoon
Mein Bhi Kaisi Batein Likhta Rehta Hoon

Sary Jism Darakhton Jaisy Lagty Hein
Or Banhoo Ko Shakhein Likhta Rehta Hoon

Tujh Ko Khat Likhny K Tevar Bhool Gaey
Aarhi Tirchhi Satrein Likhta Rehta Hoon

Tere Hijar Me Or Mujhy Kiya Karna He
Tere Naam Kitabein Likhta Rehta Hoon

Teri Zulf K Saey Dheyan Me Rehty Hein
Mein Subhoon Ko Shamein Likhta Rehta Hoon

Apny Peyar Ki Phool Mehakti Rahoon Me
Logon Ki Deewarin Likhta Rehta Hoon

Tujh Se Mil Kar Sary Dukh Dohraon Ga
Hijar Ki Sari Batein Likhta Rehta Hoon

Sokhy Phol Kitabein Zakhum Judai K
Teri Sab Soghatin Likhta Rehta Hoon

Os Ki Bheegi Palkein Hansti Rehti Hein
Mohsin Jab Tak Ghazlein Likhta Rehta Hoon

Chehry Parrta Ankhein Likhta Rehta Hoon
: Re: Chehry Parrta Ankhein Likhta Rehta Hoon
: ahmed December 22, 2009, 06:59 PM
zbardst sharing very nice
: Re: Chehry Parrta Ankhein Likhta Rehta Hoon
: anjumkhan January 20, 2010, 08:57 PM
very nice sharing
: Re: Chehry Parrta Ankhein Likhta Rehta Hoon
: King January 18, 2012, 07:43 PM

nice sharing