Aa'o jaanch laitey hain
"Dard" k taraazu per
kis ka ghum kaha tak hai
shiddatain kaha tak hai
kuch azeez logo se
poochna to parrta hai
aaj kal mohabbat ki
qeematain kaha tak hai
aik shaam aa jawo
khul k haal-e-dil keh lai
kon jaaney saanso ki
mohlatain kaha tak hai ...............