Hum Tum Board

Shayari & Urdu Adab => Shair o Shairi => Topic started by: Super boy on January 21, 2010, 04:36 AM

Title: wo zindagi tha meri magar paas nahin tha
Post by: Super boy on January 21, 2010, 04:36 AM
wo zindagi tha meri magar paas nahin tha
wo apna tha magar lagta nahin tha

wo khwab main tha ik chamakta sitaara
wo khwab main chamakta tha mujhe nazar aata nahin tha

wo jab mila kal shab ik aehsaas tha dil main
aaj jab wo rootha tu wapas aaya nahin tha

us ko dukh na jaane meri kis baat se tha
wo na jaane meri khshiyoun pe muskuraya kyu nahin tha

jaane k si mohabbat karta tha mujh se
k jab wo gaya tu us ko mera khayal aaya nahin tha

samar tu us se mohabbat karti thi sachi
na jaane us ko yaqeen hua kyu nahin tha
Title: Re: wo zindagi tha meri magar paas nahin tha
Post by: King on January 18, 2012, 07:42 PM

nice sharing
Title: Re: wo zindagi tha meri magar paas nahin tha
Post by: Ajnabi on September 15, 2012, 11:31 AM
 fllove  waha ge wah kamal kar dia apne
Title: Re: wo zindagi tha meri magar paas nahin tha
Post by: anjumkhan on October 08, 2012, 12:07 AM
 rose5