Tera naam har pal dil mein aata raha
Dil har pal khud par ilzaam lagata raha
Bin tere dil nahin lagta ik pal
Tera pyar har pal dil ko tadpata raha
Tere pyar mein intezaar karti rahi yeh aankhein
Tera pyar in aankhon ko rulata raha
Kya bebasi thi, jo pyar ke waade toot gaye,
Woh wafa, woh ulfat, woh zindagi ke mahal toot gaye
Tu nahin sanam, teri yaadein sahi,
Woh chandni raaton mein, pyar ki baatein sahi
Tootega lekin, bhoolega kabhi nahin yeh dil tujhko
Mar ke bhi har pal, main yaad aaoonga tujhko