(http://i40.tinypic.com/wtahzn.jpg)
Dil kay kisi konay main
aik tasweer hai chupayi
rakha jisay dil kay kareeb itna
kee hai ussnay bewafai
Phoolon ki rah ka saath tha
woh tou uss nay naa nibhaya
dekho uss ki nafrat ki intiha
mujhay kaanton par chorh aya
Uss ko chah kar hee tou
mohabbat ko pehchaha
khudh kay saath ka saaya cheen kar
chodh diya mujhay baybas, baygana
Saansain naam ki theen uss kay
Aahain bhi chura lay gaya woh
Mohabbat ko dafna kar uss nay
Kaanton ka guldasta bheeja mujhko
Day diya woh sab ussay
Jo tha dil kay kareeb
Afssos kay uss ki orr say
Sirf nafraat hui naseeb
Duniya hansti hai mujh par
kehti hai deewani mujhay
Ab tou yeh jaan he baki hai
kaho tou woh bhi day doon ussay
Sadiyon ka jo naata tha
Bhula diya aik pal main ussnay
Waaday jhooth lagnay lagay hain
Jab yeh dil he toodh diya ussnay
Tanhai ab aik dost hai
Mohabbat ki jaaga apnaya ussay
Sub kuch kisi kay naam kar diya
Usay yehi gila hai mujhsay
Aansoun ka sahara hai
waqt main saath nibhata hai
day na paon gi uski jaaga kisi aur ko
mohabbat nibhana mujhay aata hai
[/glow]