Hum Tum Board

Islamic Board => Islamic Center => Hamds/Naats => Topic started by: OLD MEN on July 13, 2011, 10:50 AM

Title: Mere Sarkar Ka Darbar e Pur Anwar Kia Kehna
Post by: OLD MEN on July 13, 2011, 10:50 AM
Mere Sarkar Ka Darbar e Pur Anwar Kia Kehna,
Barasti Hai Jahan Par Rehmat e Ghaffar Kia Kehna

Sawali Ban K A Jao, Jo Chaho Mang Lo Un Say,
Kisi Ko Bhi Nahi Kartay Hain Wo Inkar Kia Kehna

Batatay Ghaib Ki Khabrain Hain Ummat Ko Mere AQA.
Khuda K Fazl Say Hain Waqif e Asrar Kia Kehna

Wohi Saray Jahan Main Nematain Taqsim Kartay Hain,
Unhain Rab Nay Banaya Malik O Mukhtar Kia Kehna

Muhabat Say Inayat Say, Mere AQA Mere Maula,
Banaye Ap Nay Apnay Sabhi Aghyar Kia Kehna

Unhi Ki Yaad Jab Dil Main Basi Ho Har Ghari ASIF,
To Ho Jain Na Q Piyare Tere Ashaar Kia Kehna
Title: Re: Mere Sarkar Ka Darbar e Pur Anwar Kia Kehna
Post by: Allahwala on July 14, 2011, 12:28 AM
 JazaKallah
Title: Re: Mere Sarkar Ka Darbar e Pur Anwar Kia Kehna
Post by: asad on July 17, 2011, 11:11 AM
 JazaKallah