Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hai
Ke ashk rokna tum se muhaal hona hai
Har ik lab pe hain meri wafa ke afsanay
Tere sitam ko abhi lazawaal hona hai
Baja ke khaar hain lekin bahaar ki rut main
Yeh tay hai ab ke hamen bhi nihaal hona hai
Tumhen khabar hi nahin tum to laut jao ge
Tumhare hijar main lamha bhi saal hona hai
Hamari rooh pe jab bhi azaab utren gay
Tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hai
Kabhi to roye ga woh bhi kisi ki baanhon main
Kabhi to us ki hansi ko zawaal hona hai
Milen gi hum ko bhi apne naseeb ki khushiyan
Bas intezar hai kab yeh kamal hona hai
Har ek shakhs chale ga hamari raahon par
Mohabbaton main hamen woh misaal hona hai
Zamana jis ke kham-e-paich main ulajh jaye
Hamari zaat ko aisa sawaal hona hai
WASI yakeen hai mujh ko woh laut aaye ga
Usay bhi apne kiye ka malaal hona hai
Wasi Shah