ab ke tajdeed-e-wafa ka imkaan nahin jaanan
yaad kya dilayein tujh ko tera pemaan jaanan
yunhi mausam ki ada dekh ke yaad aaya hai
kis qadar jald badal jate hain insaan jaanan
zindagi teri ata thi so tere naam ki hai
hum ne jaise bhi basar ki tear ehsaan jaanan
dil yeh kehta hai ke shayed ho fasarda tu bhi
dil ki kya baat karein dil to hai nadan jaanan
awal awal mohabbat ke nashe yaad to ker
be pe bhi tera chehra tha gulstaan jaanan
aakhir aakhir to yeh aalam hai ke ab hosh nahi
rag-e-mena sulag uthi ke rag-e-jaan jaanan
hum bhi kya sada the hum ne bhi samajh rakha tha
gham-e-doraan se juda hai gham-e-jaan, jaanan