shab-e-barat kia hai ?
shaban ki pandarwein shab jis main Allah tallah tamam insanon ki zindagi ,muot ,rizq,or kamiyabi nakami ka faisala karta hai-
Hazrat Muhammad s.a.w ney fermaya k,"Ramzan Allah tallah ka or shaban mira maheena hain, Is mah ki pandrvih shab ko jag kar ebadat karney or din ko roza rakhney ki bari ehmiyat biyan fermai gai hai-
Hazrat Aisha R.a or Hazrat umm-e-salma fermati hain k "ramzan k siwa sal k baqi giyarah mahenon main shaban hi wo mahina hai jis main Huzur s.a.w zada rozey rakhtey they-
Yeh rat khuda ney humein aata ki hai k hum allah sey apney gunahon ki mafi mang sakein or aeinda k liey khuda ki rehmatein hasil kar sakein.
Allah sey miri dua hai k hum tamam muslmanon ko deen ki rah pe chala dey humrey dil Allah k kalam sey roshan kar dey Ameen summa Ameen
Manglo manglo ,mangney ka maza aj ki rat hai