din chaRhe aur bikhar jaauuN
raat utre to maiN ghar jaauuN
bahut ehsaas hai hone kaa
itnaa zindaa huuN ke mar jaauuN
maiN zamiiN-daadah sahii phir bhii
aasmaaN saa huuN jidhar jaauuN
(zamiin-daadah : inhabiting land)
vahii be-chehragii har suu hai
aaiinaa huuN maiN, kidhar jaauuN
(be-chehragii : facelessness; har suu : everywhere)