wo zindagi tha meri magar paas nahin tha
wo apna tha magar lagta nahin tha
wo khwab main tha ik chamakta sitaara
wo khwab main chamakta tha mujhe nazar aata nahin tha
wo jab mila kal shab ik aehsaas tha dil main
aaj jab wo rootha tu wapas aaya nahin tha
us ko dukh na jaane meri kis baat se tha
wo na jaane meri khshiyoun pe muskuraya kyu nahin tha
jaane k si mohabbat karta tha mujh se
k jab wo gaya tu us ko mera khayal aaya nahin tha
samar tu us se mohabbat karti thi sachi
na jaane us ko yaqeen hua kyu nahin tha