Tune apna jalwa dikhane ko jo naqaab munh se utha diya
Wahin mahw-e-hairat-e-bekhudi mujhe aaina sa bana diya
Karoon kya bayaan maen hamnasheen asar us ke lutf-e-nigaah ka
Ki ta'aiyyunat ki qaid se mujhe ek dum mein chhura diya
Jise dekhna hi muhaal tha na tha us ka naam-o-nishaan kahin
So har ek zarre me ishq ne humen us ka jalwa dikha diya
Jabhi ja ke maktab-e-ishq mein sabaq-e-maqam-e-fana liya
Jo likha parha tha 'Niyaz' nein so woh saaf dil se bhula diya