Junoon Ki Had Say Guzar Kar Karoon Mohabbat Bhi
Junoon Ki Had Say Guzar Kar Karoon Mohabbat Bhi
Main Kya Karoon Ke Mujhey Ikhtiyaar Hi Kam Hai
Abhi Say Dartey Ho Tum Mairey Sabr-o-Zabt Say Kyun
Abhi To Sabr Maira Sogwaar Hi Kam Hai
Suna Hai Tootey Dilon Par Woh Meharbaan Hai Bohat
Maira To Daman-e-Dil Taar Taar Hi Kam Hai
Main Kis Tarah Say Chaloon Saath Dair Tak Terey
Mairi Hayat Ki Ye Raah Guzar Hi Kam Hai
Lahoo Bhi Roye Ga Ikk Din Ye Maira Deeda-e-Tar
Abhi To Aankh Mairi Be-qaraar Hi Kam Hai
Woh Sun Na Paya Agar Jo Kiya Gila Uss Say
Mairi Nazar Say Utthi Ye Pukaar Hi Kam Hai
Bicharr Ke Jeeney Ka Wada Main Kis Tarah Say Karoon
Main Kya Kahoon Ke Mujhey Aitbaar Hi Kam Hai
Woh Jin Ke Harf-e-Tammana Asar Nahin Rrakhtey
So Unn Dilon Mein Abhi Inteshaar Hi Kam Hai
Woh Ikk Lagan Jo Mujhey Zaat Mein Amar Kar Dey
Mairey Lahoo Mein Abhi Woh Sharaar Hi Kam Hai
Main Rakh To Doon Ga Qadam Phir Teri Musafat Mein
Kuch Aur Kaantey Saja, Khaar Zaar Hi Kam Hai
Woh Khal-o-Khad Jo Likhoon To Madhosh Kar Dein Gey
Mairey Labon Pay Abhi Ye Khumaar Hi Kam Hai
Ye Zindagi Ka Diya Tha Dua Ke Haalon Mein
Jo Bujh Raha To Laga… Ye Hisaar Hi Kam Hai