ik sang tarah jis ne barson
heeron ki tarah sanam tarashe
aaj apne sanam kade mein tanha
majboor nidhaal zakhm khoorda
din raat parha karahta hai
chehre ujaarh zindagi
lamhaat ki an-ginat kharashein
aankhon ke shikasta markadon mein
roothi hui hasraton ki laashein
saanson ki thakan badan ki thandak
ehsaas se kab talak lahoo le
haathon mein kaha sakat ke barh ker
khud sakhta pakeeron ke jhoole
yeh zakhm tal yeh namuraadi
har but ke labon pe hai tabassum
aye teesha bad sat dewatao
insaan jawab chahta hai