Qurabton mein bhi judayi ke bahane maange
Dil woh bemehar ke rone ke bahane maange
Apna yeh haal ke jee haar chuke lut bhi chuke
Aur mohabbat wohi andaaz puraane maange
Yehi dil tha ke tarasta tha marasim ke liye
Ab yehi tark-e-ta'luq ke bahane maange
Zindagi hum tere daaghon se rahe sharminda
Aur tu hai ke sada ayina khaane maange
Dil kisi haal mein qaneya hi nahi jaane Faraz
Mil gaya tu bhi to kya aur na jaane maange