har tamashayi faqat saahil se manzir dekhta
kaun darya ko ulatta kaun gohar dekhta
woh to duniya ko meri deewangi khush aa gayi
tere haathon mein wagarna pehla pathar dekhta
aankh mein aansoo jarhe the per sada tujh ko na di
is tovaqa per ke shayed tu pala ker dekhta
meri qismat ki lakeerein mere haathon mein na theen
tere maathe per koi mera muqaddar na dekhta
zindagi pheli hui thi shaam hijran ki tarah
kis ko apna hosla tha kaun jee ko dekhta
doobne wala tha aur sahil pe chehron ka hajoom
pal ki mohlat thi main kis ko aankh bhar ker dekhta
tu bhi dil ko ik lahoo ki boond samjha hai Faraz
aankh agar hoti to qatre mein samandar dekhta