Ankhon main sitaray to kayi shaam se utray
Par dil ki udaasi na dar-o-baam se utray
Kuch rang to ubhray teri gul-pairhani ka
Kuch zang to aaina-e-Ayyam se utray
Hote rahe dil lamha ba lamha tah-o-bala
Woh zeena ba zeena baray araam se utray
Jab tak tere qadmon main farokash hain sabooh-kash
Saaqi khat-e-baada lab-e-jaam se utray
Be-tama nawazish bhi nahi sang dilon ki
Shayad woh mere ghar bhi kisi kaam se utray
Auron ke qaseeday faqat aaward thay jaanan
Jo tujh pe kahe shair woh ilhaam se utray
Aay Jaan-e-Faraz, aay mere har dukh ke maseeha
Har zeher zamane ka tere naam se utray