TASWEER E DARD
ZUBAN SAY GAR KIA TOHEED KA DA'AWA TOW KIA HASIL!
BANAYA HAY BUT E PINDAR KO APNA KHUDA TOO NAY
KUNWEN MEIN TOO NAY YOUSAF KO JO DEKHA BHI TOW KIA DEKHA
ARAY GHAFIL! JO MUTLAQ THA MQIYYAD KER DIA TOO NAY
HAWAS BALA E MEMBER HAY TUJHAY RANGEEN BIYANI KI
NASEEHAT BHI TERI SORAT HAY IK AFSANA KHAWANI KI
DIKHA WO HUSN E ALAM SOZ APNI CHASHAM E PURNAM KO
JO TARRPATA HAY PERWANAY KO' RULWATA HAY SHABNUM KO
NIRRA NAZARA HI AYE BOO AL-HAWAS MAQSAD NAHI IS KA
BANAYA HAY KISI NAY KUCH SAMAJH KER CHASHM E ADAM KO
AGAR DEKHA BHI US NAY SARAY ALAM KO TOW KIA DEKHA
NAZAR AI NA KUCH APNI HAQEEQAT JAM SAY JUM KO
SHAJAR HAY FIRQA ARAI' TA'ASUB HAY SAMAR IS KA
YEH WO PHAL HAY KEH JANNAT SAY NIKALWATA HAY ADAM KO
NA UDTHA JAZBA E KHORSHEED SAY IK BARG E GUL TEK BHI
YEH RIFA'AT KI TAMANNA HAY KEH LAY URRTI HAY SHABNUM KO
PHIRRA KARTAY NAHI MAJROOH E ULFAT FIKAR E DARMAN MEIN
YEH ZAKHMI AP KER LETAY HEIN PEDA APNAY MERHAM KO
MOHABBAT KAY SHARAR SAY DIL SARAPA NOOR HOTA HAY
ZARA SAY BEEJ SAY PEDA RAYAZ E TOOR HOTA HAY
Dr. Allama Muhammad Iqbal