Hum Tum Board
Welcome,
Guest
. Please
login
or
register
.
1 Hour
1 Day
1 Week
1 Month
Forever
Login with username, password and session length
Home
Help
Search
Login
Register
Hum Tum Board
»
Tasawwuf
»
Tasawwuf & more
»
Islaami Shariyet Aur Ibadat
« previous
next »
Print
Pages: [
1
]
Author
Topic: Islaami Shariyet Aur Ibadat (Read 1559 times)
0 Members and 1 Guest are viewing this topic.
Master Mind
4u
Administrator
Posts: 4478
Reputation: 85
Gender:
Hum Sab Ek Hin
Islaami Shariyet Aur Ibadat
«
on:
November 08, 2009, 12:47 AM »
By
pakiht
Quran-e-kareem us Shariyet ki yaad taaza karta hai jo Allah Taala ne insaan ke andar mukhtalif quwaton ki surat may widiyet kar rakhi hai. Us Shariyet ke zariye insaan ke andruni qawa khususan quwat-e-shawania aur quwat-e-ghazabia ki tahzeeb-o-tadeeel hoti hai. Jiske natijey may mukhtalif akhlakh paida hote hain. Maslan, halam, esaar, sabr-o-khinaa-at, sakhawat, shuja-at, ita-at, akhlaas, sadaq, dayanat, mehnath, amal-e-saaleha ki istadad waghaira…gharz jo fitrat qudrat ne baatan may rakhi thi ,Quran ne usey yaad dilaya hai .jaise fermaya,
“ Fi kitaabin maknun “ ( jo kitaab-e-mehfuz may likha hua hai).sura-e-waqiya,aayet no.79.
Yaane sahefa-e-fitrat may jo chupi hui kitab thi aur jisko her shaks na dekh sakta tha. Usko is waahi ne sab ke saamne khol kar rakh diya hai aur uski puri puri wezahat kardi. Ye hai islaami Shariyet aur Quran-e-kareem ki amali taaleem ka tassawur jiski tashreeh-o-tafseel zindgi ke tamaam pehluvon per haavi hai.
Insaan ko isliye paida kiya gaya hai take uske zariye khaalikh-e-dojahaan ke wajud ka zahur aur uski sifaat ka namud ho, israar fitrat aur raazhaa-e-qudrat khul kar saamne aajaayen yaane insaan khudanuma wajud bane aur mazhar-e-sifaat-e-Baari ban kar takhlikh-e-kaainaat ki gharz-o-ghaayet puri kare. Isliye insaan ko abad kaha gaya hai. Kyonke ibaadat ke mane kisi ka nakhsh qabul karne ke hain. Aur insaan ko aise malkuti qawa aura ala aqdaar widiyet huye hain jinki madad se had-e-bashriyet ke andar rahte huye jahaan tak uske liye mumkin hai vo sifat-e-ilaahiya ka pura naqsha pesh karsakta hai. Aur un ko apne andar paida karne ki puri puri ahliyet rakhta hai.
Allah Taala Quran-e-kareem may fermata hai,
“Wa ma khala-khutul-jinna wal-insa illa li-aabu-dun.” (sura-e-zaariyaat aayat 57.
Yaane maine jin-o-ins ko sirf ibadat ke liye paida kiya hai. Yaane isliye ke vo mere zahur ka maujab aur mere sifaat ka mazhar banen.
Is Aayet-e-Kareema ki tafseer vo hadees-e-qudsi karti hai jisme Allah Taala fermata hai ,
“ Kuntu Kanzan makhfi-yan fa-ard-tu An u-arafa falakhtu adama.”
Yaani mai ek makhfi khazana tha ,phir maine irada kiya ke mai pehchana jaaun isliye maine Adam ko paida kiya. Iski mazeed wizahat Aanhazrath sallaAllahu walahi wassalam ke irshad may hai,
“ InnAllaha khalakha Adama alaa suratihi.”
Yaane Allah Taala neAdam ko apni surat per paida kiya. In irshadaat ka matlab yehi hai ke insaan ki paidaish ka maqsad zaat-e-Baari ka zahur uttam hai kyonke vo siffat-e-ilaahiya ka mazhar ban sakta hai.aur uski qudrat ke israar per se perda uthaane ki zehni istaadaad lekar paida hua hai. Yehi wajah hai ke istanbaad, ejaadaath,aur naye naye inkishaafaath ki jo qaabiliyaten insaan ko widiyet ki gaii hain vo kisi dusri makhlukh ko atta nahi huyeen.
Haqeeqi maano mayAllahTaala kea bad kehlane ki raah ye bhi hai ke insaan AllahTaala ke huzur apne jazbaat-e-shukur ka izhaar kare aur uske ehsaano ka apni zubaan se iqraar kare ,kyonke insaan fitratan apne muhsen ka shukriya ada karne per majbur hota hai jaisa ke hadees may ata hai,
“ jubilatil-khulubu alaa hubbi man ahsana ilaye-ha “
yaane insaan ki banawat hi aisi hai ke vo apne muhsan se mohabbat karne per majbur hota hai. Allah Taala ka haqeeqi abad banne ke liye ye bhi zaruri hai ke insaan gunahon aur badiyon se najaat paajaaye aur apne dil ko paak karle. Kyonke AlahTaala paak hai aur paak log hi uski Baargah may jaasakte hain. Yehi wajaah hai ke tamaam mukhrara ibadaat may ye baat madd-e-nazar rakhi gaii hai ke unke zariye nafs-e-insaani badiyon se paak hojaaye aur usey aisi taaqat miljaaye ke vo mukhtalif qism ke hawa-o-hawas chodne ke qaabil hojaaye.ektaraf AllahTaala se uske tallukhaat durust hojaayen aur dusri taraf makhlukh-e-Ilaahi se uske maamlaat biklul durust aur saaf rahen.
Logged
Dark_Lord
Sr. Member
Posts: 1300
Reputation: 12
Re: Islaami Shariyet Aur Ibadat
«
Reply #1 on:
January 01, 2010, 03:36 AM »
awesome sharing
Logged
Rohanibaba
Newbie
Posts: 140
Reputation: 4
Gender:
Re: Islaami Shariyet Aur Ibadat
«
Reply #2 on:
February 10, 2010, 02:31 AM »
boht umdha sharing ke
Logged
Print
Pages: [
1
]
« previous
next »
Hum Tum Board
»
Tasawwuf
»
Tasawwuf & more
»
Islaami Shariyet Aur Ibadat