wo nam aankhoon se meri janib daikhta hai,
aur kehta hai,
khudara choar na jana,
mujhey tum bhool na jana,
mujhey tum maar dena par,
kabhi tanha nahi karna,
k hum tum door ho jain,
kabhi majboor ho jain,
wo kehta hai,
tumhey sun k main jeeta hon,
tum hasti ho to hasta hoon,
tumhey mill k main dunya k,
sabhi gham bhool jata hoon,
mere be-rang jeevan ko,
tumhi ne rang bakhshey hain,
mujhey weraan mat krna,
kabhi anjan na bnna,
hamesha sang hi rehna,
kabhi be-rang mat krna,
wo nam aankhoon se meri janib daikhta hai,
uss k lehjey ki udasi,
aankhh ka gham,
bheegi zubaan,
mera dil rok daiti hain,
meri palkain bhigoti hain,
main uss se kehna chahti hoon,
meri aankhoon main bhi to,
dooryoon ka dard baqi hai,
mujhey ehsaas hai,
chahat bari saffak hoti hai,
bohot barbad karti hai,
tum itni shidatoon se mujhh ko na chaho,
haan khuda se maangtey rehna,
wo sohna sacha sayeen,
hamarey rastoon main noor bhar de ga,
sabhi mushkiloon ko door kr dey ga...