Hum insan, is dunya mein to a hi ghay hai. Par hume jo mission mila hai. Kabhi humne oske barey mein socha hai?..
Jo is dunya mein ata hai, apna aapna naseeb le kar ata hai. Is dunya mein humne kia karna hai aur kub humara imtehan khatam ho jana hai. Lekin zindagi ke iss safar mein humari qismat badal thi rehti hai. Who bhi "Dua"ki wajha se. Hum aapni zindagi mein kya nahi chahte.. Aik acha ghaar hoo, achi car hoo, naukar chakar hoo, acha sa kam hoo yha buesiness hoo.. BUS, Humari zindagi muqamal ho ghai. Humne kabhi yhe nahi socha, aghar ALLAH ne mujhe dya hai itna kuch, to mein os insan ko do, jiske paas nahi hai. Lekin hum itne khudgharz hai ke, hum sirf aapne barey mein sochte hai..
Meri behno aur bhayyo, PLEASE, ALLAH ko MAT bholo, who bohat nazeeq hai humare, otna nazdiq ke hum soch bhi nahi saktey.
Kissi ke lye koi bori dua yha kuch mhoo se bora MAT nikala karo.
Aghar koi dosra khush hai, to tum bhi khush ho jao, ALLAH aap logon ko auuur de gha.. WHO RAHEEM HAI KAREEM hai.. Who reham karne wala hai..
PLEASE, kissi ko aapni taraf se kabhi takleef na do.
Aap log shayad yhe soch rahe honge ke yhe kya keh rahi hai..
Par jis par beethati hai osko ilm hota hai..
Humne is dunya mein hamesha ke lye nahi rehna.. MAR jana hai sub ne, is zameen par jis par chaltey hai.. ISKE NICHE chale jana hai.. Aapne aapko ajazi mein rakha karo..
Kissi insan ko nich na dikhaea karo, kyo ke who RAHEEM dekh raha hota hai.. Hum sub insan hai, sub ke ehsasaat hai, sirf is dunya mein amiir logon ke nahi balkey ghaaribon ke bhi..
Mein bohat kuch likhti, par itna kuch hai ke.. Shayad kabhi khatam hi na hoti..
Umeed hai ke aap logon ko samajh aghai hogi..
..
MAY ALLAH BLESS ALL OF US.. AMIN..