Kadooratoon kay Durmieyan,Adawatoon kay Durmiyan!
Kadooratoon kay Durmieyan,Adawatoon kay Durmiyan
Tamaam Dost Ajnabi hain ,Dostoon kay Durmiyan
Zamana mari dastaan pay rooraha hay aaj kyoun
yehie tou kal sunie gaie thii qehqahoon kay Durmiyan
Zameer-e-Asar main khabi , Nuwaiey Durd main khabi
Sukhan Saraa tou main bhi hoon, Sadaqtoon kay Durmiyan
Shaoor-e-Assar dhondhta Raha hay mujh ko aur main
Magan hoon Ahed-e-Ruftagaan kii Azmatoon kay Durmiyan
Abhi Sheekist kiya kay RRizm Akhire eaik aur hay
Pukarti hay Zindagii Hazeematoon kay Durmiyan
Hazaar Burdbariyoun kay Saath jii Rahay hain hum
Muhaal tha yeh Kaar-e- Zeest Wahshatoon kay Durmiyan
Yeh Sochtay hain kab talak Zameer ko buchaien gay
Ager youn hii jeeyaa kieye Zrooratoon kay Durmiyan