yaad hey humein tujh sey muhabbat karna
nazroun ka teri iss dil pey qayyamat karna
din bhar khud ko rakhna teray hi zikar mein
har raat tasawur mein tujh sey mulaqat karna
bar haa wo mera haal-dil sunana tujh ko
har baar teri aankhoun ka mujh sey shararat karna
teri qurbat ki khatir raehna justujoo mein
qasid ka teray mujh sey adaawat karna
jurm tha kiska saza kisko di tou ney jaanaan
kia laazim tha mujhaye tujh sey shikayat karna
Dil-e-Saakhir Ko Sikha Dia He Teri Be Rukhi Ne
Ab Kissi Sey Na Iss Qadar Muhabbat Karna