Ajab pagal si larki hai
Mujhay har khat main likhti hai
Mujhay tum yaad kartay ho ?
Tumhay main yaad aati hoo
Meri batien satati hain ?
Meri neendain jagati hain ?
Meri ankhain rulati hain ?
December ki sunehri dhoop main aab bhi taktey ho
Kissi khamosh rastay say koi awaz aati hai
Inthai sard ratoon mian tum aab bhi chat per jatay ho
Falak kay sab sitaraoon ko meri batien sunatay ho
Kitaboon say tumharay ishq main koi kami aai
Ya meri yaad ki shiddat say ankho main nami aai ?
Ajab pagal si larki hai mujay har khat main likhti hai
Jawaban uss ko likhta ho
Meri musroofiyat dekhoo subha say shaam office main
Chiragh-e-umer jalata ho
Phir uss kay baad dunya ki kayee majboorian paoon main beri daal rakhti hain
Bujhay baifiker chahat hai baray sapnay nahi aatay
Tehalnay, jagnay, roonay ki mohlat nahi milti
Sitaroon say milay arsa hua
Naraz ho shayad
Kitaboon say shagaf meri abhi waisay hi qaim hai
Faraq aab itna para hai unhay aab arsoo main parhta hoon
Tumhay kiss nay kaha pagli tumhay main yaad karta hoon
Kay main khud ko bhulanay ki mustaqil justujo main hoon
Magar yah justujo meri bohat nakam rahti hai
Meray din raat main aab bhi tumhari shaam rahti hai
Meray lafzoo ki har mala tumharay naam rahti hai
Mumhay kiss nay kaha pagli tumhay main yaad karta hoo
Purani baat hai jo loog aksar gungunatay hain
Unhay ham yaad kartay hian jinhay ham bhool jatay hain
Tumhay dil say bhulaoo tu tumhari yaad aai na
Tumhay dil say bhulanay ki mujhay fursat nahi milti
Aur iss masroof jeevan main tumharay khat ka aik jumla
Tumhay meri yaad aati hai
Meri chahat ki shiddat main kami honay nahi deta
Bohat ratien jagata hai mujhay soonay nahi deta
Agli baar apnay khat main yah jumla nahi likhna
Ajab pagal si larki hai mujhay phir bhi yah likhti hai
Mujhay tum yaad kartay ho tumhay meri yaad aati hai
Mujhay tum yaad kartay ho tumhay meri yaad aati hai
Mujhay tum yaad kartay ho tumhay meri yaad aati hai