Muhabbat Ik samandar hai
buhat pyara buhat dilkash
kinaray per kharay ho ker
muhabbat ko jo dekhay ga
samandar ko jo dekhay ga
kashish pani main esi hai
k lehron main wo utray ga
qadam bheegay to samjhay ga
muhabbat main adaein hain
wafaein hi wafaein hain
magar pani muhabbat ka
sir per se jo guzray ga to janay ga
haseen lehron k nechay to
jafaein hi jafaein hain
muhabbat ik samandar hai
buhat pyara buhat dilkash