Meri zindagi ko aik tamasha bana dia tumne
Bhari mehfil main tanha betha dia tum ne
Aisi kiya thi nafrat tumko is masoom dil se
Khushiyaan chura kar ghum thama dia tumne
Bht naaz tha tumhari wafa par kabhi humko
Mujhko hi meri nazroon main gira dia tum ne
Khud bewafa they meri wafa ki kiya qadar karte
Anmol thi main khakh main mila dia tumne
Kisi ko wada kar k nibhana tu tumhari fitrat main shamil nh
Hawa ka jhonkha samjh k thukhra dia tumne